Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi, Urdu Ghazal By Khawar Jilani

Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khawar Jilani. Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عطا کے زور اثر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

خاور جیلانی

عطا کے زور اثر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

وہ شاخ بار ثمر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

میں دل میں سچ کی نمو سے تھا خوف کھایا ہوا

کہ سیپ تاب گہر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

اسی پہ تھا مرے ہر ایک تیر کا تکیہ

کماں جو کھینچ کے ڈر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

پڑی تھی آہ کو ہی خود نمائی کی ورنہ

خموشی دیدۂ تر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

جڑے ہوئے تھے بہت وسوسے خیالوں سے

سو نیند خواب کے شر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

دلوں کی شیشہ گری کارگاہ ہستی میں

ہنر کے زیر و زبر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

یہ آب وہ تھا کہ آتش بھڑک نہ پانے کی

روایت ایک شرر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

میں ایک ایسا کنارہ تھا جس کی قربت کو

وہ لہر اپنے بھنور سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

ہر ایک لشکری اترا رہا تھا جس پہ وہ تیغ

خیال ہائے ضرر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

زمیں نہ ہوتی اگر اس کمال کی حامل

قیامت آسماں پر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

تو خوش نصیب تھا ورنہ تری انا کی فصیل

کمال صرف نظر سے بھی ٹوٹ سکتی تھی

خاور جیلانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi

Khawar Jilani

ata ke zor-e-asar se bhi TuT sakti thi
wo shaKH bar-e-samar se bhi TuT sakti thi

main dil mein sach ki numu se tha KHauf khaya hua
ki sip tab-e-gohr se bhi TuT sakti thi

usi pe tha mere har ek tir ka takiya
kaman jo khinch ke Dar se bhi TuT sakti thi

paDi thi aah ko hi KHud-numai ki warna
KHamoshi dida-e-tar se bhi TuT sakti thi

juDe hue the bahut waswase KHayalon se
so nind KHwab ke shar se bhi TuT sakti thi

dilon ki shishagari kar-gah-e-hasti mein
hunar ke zer o zabar se bhi TuT sakti thi

ye aab wo tha ki aatish bhaDak na pane ki
riwayat ek sharar se bhi TuT sakti thi

main ek aisa kinara tha jis ki qurbat ko
wo lahar apne bhanwar se bhi TuT sakti thi

har ek lashkari itra raha tha jis pe wo tegh
KHayal-ha-e-zarar se bhi TuT sakti thi

zamin na hoti agar is kamal ki hamil
qayamat aasman par se bhi TuT sakti thi

tu KHush-nasib tha warna teri ana ki fasil
Kamala-e-sirf-e-nazar se bhi TuT sakti thi

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi written by Khawar Jilani at UrduPoint. Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi is one of the masterpieces written by Khawar Jilani. You can also find the complete poetry collection of Khawar Jilani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawar Jilani' above.

Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.