Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai, Urdu Ghazal By Khawar Jilani

Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khawar Jilani. Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نافع ہے کچھ تو وہ کسی فیضان ہی کا ہے

خاور جیلانی

نافع ہے کچھ تو وہ کسی فیضان ہی کا ہے

ورنہ تعلقہ مرا نقصان ہی کا ہے

کلفت ہے سب کی سب یہ توقع کے نام کی

جو بھی کیا دھرا ہے یہ امکان ہی کا ہے

مال و منال دست گہہ حادثات کا

رہتے ہیں گر بحال تو اوسان ہی کا ہے

منظر وہ ہے کہ جو کبھی ششدر نہ کر سکے

حیرت یہ ہے کہ دیدۂ حیران ہی کا ہے

الزام خود ہوں میں یہاں ہستی کے نام پر

میرا وجود اصل میں بہتان ہی کا ہے

تفصیل میں تو سمٹا ہوا ہی تھا انکسار

اجمال بھی یہ عجز کے عنوان ہی کا ہے

آخر عیاں ہوا کہ مراسم کی ذیل میں

اسباب دل شکستگی پیمان ہی کا ہے

جب تک بہ دوش رہتا ہے رہتا ہوں گامزن

میرا سفر حقیقتاً سامان ہی کا ہے

اترے وہ ناؤ شوق سے ہو ڈوبنا جسے

ساحل مزاج بحر کا طوفان ہی کا ہے

آوارگاں کے واسطے کردار دشت کا

انجام کار حیطۂ زندان ہی کا ہے

جائے پناہ اس کی کوئی دوسری نہیں

خاورؔ کہیں کا ہے تو بیابان ہی کا ہے

خاور جیلانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai

Khawar Jilani

nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai
warna talluqa mera nuqsan hi ka hai

kulfat hai sab ki sab ye tawaqqo ke nam ki
jo bhi kiya dhara hai ye imkan hi ka hai

mal-o-manal dast-gah-e-hadsat ka
rahte hain gar bahaal to ausan hi ka hai

manzar wo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake
hairat ye hai ki dida-e-hairan hi ka hai

ilzam KHud hun main yahan hasti ke nam par
mera wajud asl mein bohtan hi ka hai

tafsil mein to simTa hua hi tha inkisar
ijmal bhi ye ijz ke unwan hi ka hai

aaKHir ayan hua ki marasim ki zail mein
asbab-e-dil-shikastagi paiman hi ka hai

jab tak ba-dosh rahta hai rahta hun gamzan
mera safar haqiqatan saman hi ka hai

utre wo naw-e-shauq se ho Dubna jise
sahil mizaj-e-bahr ka tufan hi ka hai

aawargan ke waste kirdar dasht ka
anjam-kar hita-e-zindan hi ka hai

ja-e-panah us ki koi dusri nahin
'KHawar' kahin ka hai to bayaban hi ka hai

(422) ووٹ وصول ہوئے

You can read Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai written by Khawar Jilani at UrduPoint. Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai is one of the masterpieces written by Khawar Jilani. You can also find the complete poetry collection of Khawar Jilani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawar Jilani' above.

Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.