Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge, Urdu Ghazal By Khawar Jilani

Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khawar Jilani. Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مفصل داستانیں مختصر کر کے دکھائیں گے

خاور جیلانی

مفصل داستانیں مختصر کر کے دکھائیں گے

طوالت عمر بھر کی جست بھر کر کے دکھائیں گے

جو سپنے دیکھ رکھے ہیں جہان دیدۂ وا نے

انہیں تعبیر کے زیر اثر کر کے دکھائیں گے

یہ وہ نمناکیاں ہیں جو ہوا دیں گی الاؤ کو

یہ وہ آنسو ہیں جو خود کو شرر کر کے دکھائیں گے

بھروسہ رہ گیا کچھ خاک کو ہم پر اگر تو ہم

فنا کے سامنے جیون بسر کر کے دکھائیں گے

تلفظ پر نہ ہو موقوف جب کچھ تو معانی کو

کسی کے لفظ کیا زیر و زبر کر کے دکھائیں گے

یہ بادل کیا دکھائیں گے ہوا کو مشتعل ہو کر

یہ پتے پیڑ کو کیا در بہ در کر کے دکھائیں گے

اجازہ ہو گیا معجز بیانی کا تو ہم تیرے

اسی تخم تحیر کو شجر کر کے دکھائیں گے

اگر پاتال بن جائے گا اس کی تہہ میں اتریں گے

اگر چوٹی بنے گا اس کو سر کر کے دکھائیں گے

گماں جو اوس کے قطروں کی صورت ہیں ابھی خاورؔ

کسی دن وہ تمہیں خود کو بھنور کر کے دکھائیں گے

خاور جیلانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge

Khawar Jilani

mufassal dastanen muKHtasar kar ke dikhaenge
tawalat umr bhar ki jast bhar kar ke dikhaenge

jo sapne dekh rakkhe hain jahan-e-dida-e-wa ne
unhen tabir ke zer-e-asar kar ke dikhaenge

ye wo nam-nakiyan hain jo hawa dengi alaw ko
ye wo aansu hain jo KHud ko sharar kar ke dikhaenge

bharosa rah gaya kuchh KHak ko hum par agar to hum
fana ke samne jiwan basar kar ke dikhaenge

talaffuz par na ho mauquf jab kuchh to maani ko
kisi ke lafz kya zer-o-zabar kar ke dikhaenge

ye baadal kya dikhaenge hawa ko mushtail ho kar
ye patte peD ko kya dar-ba-dar kar ke dikhaenge

ijaza ho gaya mojaz-bayani ka to hum tere
isi tuKHm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhaenge

agar patal ban jaega us ki tah mein utrenge
agar choTi banega us ko sar kar ke dikhaenge

guman jo os ke qatron ki surat hain abhi 'KHawar'
kisi din wo tumhein KHud ko bhanwar kar ke dikhaenge

(382) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge written by Khawar Jilani at UrduPoint. Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge is one of the masterpieces written by Khawar Jilani. You can also find the complete poetry collection of Khawar Jilani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawar Jilani' above.

Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.