Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina, Urdu Ghazal By Khurshidul Islam

Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshidul Islam. Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر غم غم تازہ ہے یہ شاداب ہے سینہ

خورشید الاسلام

ہر غم غم تازہ ہے یہ شاداب ہے سینہ

ایسا بھی تو اس دور میں نایاب ہے سینہ

ہنگام خمیدن بھی یہ سر خم نہیں ہوتا

یوں کہنے کو گنجینۂ آداب ہے سینہ

جیسے کہ نہ آئی ہے نہ آئے گی کوئی اور

ہر صبح کو اس طور سے بیتاب ہے سینہ

باطن پہ نظر کیجے تو اک بحر ہے ذخار

ظاہر پہ نظر کیجے تو پایاب ہے سینہ

کب دشت و جبل کوہ و دمن راہ میں آئیں

ہو سوز جو سینے میں تو سیلاب ہے سینہ

ظاہر میں تو جو کچھ ہے وہ اسباب جہاں ہے

باطن میں یہی چشمۂ اسباب ہے سینہ

آنکھیں تو برستی ہیں برستی ہی رہیں گی

کیوں ڈوب نہ جائیں کہ تہہ آب ہے سینہ

جس باب میں آثار غزالان عجم ہیں

توریت کا قرآن کا وہ باب ہے سینہ

ہر دم مرے ہونٹوں سے چھلکتی ہے گلابی

بیتاب سی اک موج مے ناب ہے سینہ

بستی میں عجب دولت بیدار ہیں آنکھیں

ویرانے میں اک دولت نایاب ہے سینہ

بیداری میں سویا ہوا قطرے میں تلاطم

اور خواب میں جاگا ہوا سیلاب ہے سینہ

ہے رنج کا عالم بھی کوئی عیش کا عالم

ہر لحظہ عجب عالم صد خواب ہے سینہ

عالم ہے اگر راز تو یہ شیشۂ جم ہے

عالم ہے اگر ساز تو مضراب ہے سینہ

اللہ غنی کہیے کہ اللہ غنی ہے

وہ تاب عطا کی ہے جہاں تاب ہے سینہ

خورشید الاسلام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina

Khurshidul Islam

har gham gham-e-taza hai ye shadab hai sina
aisa bhi to is daur mein nayab hai sina

hangam-e-KHamidan bhi ye sar KHam nahin hota
yun kahne ko ganjina-e-adab hai sina

jaise ki na aai hai na aaegi koi aur
har subh ko is taur se betab hai sina

baatin pe nazar kije to ek bahr hai zaKHKHar
zahir pe nazar kije to payab hai sina

kab dasht-o-jabal koh-o-daman rah mein aaen
ho soz jo sine mein to sailab hai sina

zahir mein to jo kuchh hai wo asbab-e-jahan hai
baatin mein yahi chashma-e-asbab hai sina

aankhen to barasti hain barasti hi rahengi
kyun Dub na jaen ki tah-e-ab hai sina

jis bab mein aasar-e-ghazalan-e-ajam hain
tauret ka quran ka wo bab hai sina

har-dam mere honTon se chhalakti hai gulabi
betab si ek mauj-e-mai-e-nab hai sina

basti mein ajab daulat-e-bedar hain aankhen
virane mein ek daulat-e-nayab hai sina

bedari mein soya hua qatre mein talatum
aur KHwab mein jaga hua sailab hai sina

hai ranj ka aalam bhi koi aish ka aalam
har-lahza ajab aalam-e-sad-KHwab hai sina

aalam hai agar raaz to ye shisha-e-jam hai
aalam hai agar saz to mizrab hai sina

allah ghani kahiye ki allah ghani hai
wo tab ata ki hai jahan-tab hai sina

(552) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina written by Khurshidul Islam at UrduPoint. Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina is one of the masterpieces written by Khurshidul Islam. You can also find the complete poetry collection of Khurshidul Islam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshidul Islam' above.

Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Gham Gham-e-taza Hai Ye Shadab Hai Sina, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.