Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya, Urdu Ghazal By Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub

Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub. Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر چیز میں عکس رخ زیبا نظر آیا

خواجہ عزیز الحسن مجذوب

ہر چیز میں عکس رخ زیبا نظر آیا

عالم مجھے سب جلوہ ہی جلوہ نظر آیا

تو کب کسی طالب کو سراپا نظر آیا

دیکھا تجھے اتنا جسے جتنا نظر آیا

کیں بند جب آنکھیں تو مری کھل گئیں آنکھیں

کیا تم سے کہوں پھر مجھے کیا کیا نظر آیا

جب مہر نمایاں ہوا سب چھپ گئے تارے

تو مجھ کو بھری بزم میں تنہا نظر آیا

گردوں کو بھی اب دیکھ کے ہوتی ہے تسلی

غربت میں یہی ایک شناسا نظر آیا

سب دولت کونین جو دی عشق کے بدلے

اس بھاؤ یہ سودا مجھے سستا نظر آیا

ناکام ہی تا عمر رہا طالب دیدار

ہر جلوہ ترا بعد کو پردا نظر آیا

جو دور نگاہوں سے سر عرش بریں ہے

وہ نور سر گنبد خضرا نظر آیا

مجذوبؔ کبھی سوز کبھی ساز ہے تجھ میں

تو میرؔ کبھی اور کبھی سوداؔ نظر آیا

مجذوبؔ کے جذبے کی جو سمجھے نہ حقیقت

ان عقل کے اندھوں کو یہ سودا نظر آیا

خواجہ عزیز الحسن مجذوب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya

Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub

har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya
aalam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya

tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya

kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen
kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya

jab mahr numayan hua sab chhup gae tare
tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya

gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli
ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya

sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle
is bhao ye sauda mujhe sasta nazar aaya

nakaam hi ta-umr raha talib-e-didar
har jalwa tera baad ko parda nazar aaya

jo dur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai
wo nur sar-e-gumbad-e-KHazra nazar aaya

majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein
tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya

majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat
un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya

(659) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya written by Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub at UrduPoint. Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya is one of the masterpieces written by Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Aziz Ul Hasan Majzoub' above.

Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.