Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin, Urdu Ghazal By Khwaja Mohammad Wazir

Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Mohammad Wazir. Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرے نالوں سے تہہ و بالا ہوئی اکثر زمیں

خواجہ محمد وزیر

میرے نالوں سے تہہ و بالا ہوئی اکثر زمیں

زیر پا آیا فلک اور بارہا سر پر زمیں

ہے دیار ماہرو کا بس یہی قاصد نشاں

آسماں تجھ کو نظر آئے گی واں کی سر زمیں

کس طرف جاؤں کہ ہو ان دو بلاؤں سے نجات

آسماں گھر گھر یہی ہے اور یہی گھر گھر زمیں

باری باری یہ مجھے پیسیں برنگ آسیا

آسماں دن بھر رہے گردش میں تو شب بھر زمیں

مثل خورشید آسماں جلتا ہے آہ گرم سے

کانپتی ہے ٹھنڈی سانسوں سے مری تھر تھر زمیں

جس جگہ ہیں دفن قاتل تیری مژگاں کے شہید

واں عوض سبزی کے پیدا کرتی ہے نشتر زمیں

سیکڑوں اس میں گئے محبوب جائے‌ رشک ہے

رکھتی ہے آغوش میں کیا کیا پری پیکر زمیں

آتش فرقت سے عالم کورۂ آتش ہوا

آسماں ہے دود ہم اخگر میں اور مجمر زمیں

عشق خال یار نے ایسا کیا زار و نحیف

بیٹھے رہنے کو مرے کافی ہے اب تل بھر زمیں

خواجہ محمد وزیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin

Khwaja Mohammad Wazir

mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin
zer-e-pa aaya falak aur barha sar par zamin

hai dayar-e-mah-ru ka bas yahi qasid nishan
aasman tujh ko nazar aaegi wan ki sar-zamin

kis taraf jaun ki ho in do balaon se najat
aasman ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin

bari bari ye mujhe pisen ba-rang-e-asiya
aasman din bhar rahe gardish mein to shab-bhar zamin

misl-e-KHurshid aasman jalta hai aah-e-garm se
kanpti hai ThanDi sanson se meri thar-thar zamin

jis jagah hain dafn qatil teri mizhgan ke shahid
wan ewaz sabzi ke paida karti hai nashtar zamin

saikDon is mein gae mahbub ja-e-rashk hai
rakhti hai aaghosh mein kya kya pari-paikar zamin

aatish-e-furqat se aalam kora-e-atish hua
aasman hai dud hum aKHgar mein aur mujmar zamin

ishq-e-KHal-e-yar ne aisa kiya zar-o-nahif
baiThe rahne ko mere kafi hai ab til bhar zamin

(394) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin written by Khwaja Mohammad Wazir at UrduPoint. Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin is one of the masterpieces written by Khwaja Mohammad Wazir. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Mohammad Wazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Mohammad Wazir' above.

Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.