Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain, Urdu Ghazal By Khwaja Rabbani

Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Rabbani. Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain comes under the Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شجاعت کی مثالیں قبر کے پتھر میں رکھی ہیں

خواجہ ربانی

شجاعت کی مثالیں قبر کے پتھر میں رکھی ہیں

ہماری ساری شمشیریں عجائب گھر میں رکھی ہیں

ہوا کی دشمنی سے حوصلے ٹوٹے نہیں اس کے

اڑانیں تو پرندے کے شکستہ پر میں رکھی ہیں

جسے چاہے دکھاتا ہے جسے چاہے مٹاتا ہے

کہ تصویریں سبھی اب دست شیشہ گر میں رکھی ہیں

چراغوں کے محلے میں بہت تیزی سے چلتی ہے

یہ کیسی وحشتیں یا رب ہوا کے سر میں رکھی ہیں

ہمارے بعد آنے والوں کو کوئی تو سمجھائے

گئے وقتوں کی تاریخیں ہر اک پتھر میں رکھی ہیں

گلوں سے قربتیں ثابت فقط خوشبو سے ہوتی ہیں

قبائیں تو صبا کی قبضۂ صرصر میں رکھی ہیں

ہم اپنا ساز و ساماں لے تو آئے ہیں نئے گھر میں

مگر کچھ دستکیں اب بھی پرانے گھر میں رکھی ہیں

وہ راہ وصل کہ پیکر نہیں بینائی چلتی تھی

مری آنکھیں ترے دیدار کے منظر میں رکھی ہیں

خواجہ ربانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain

Khwaja Rabbani

shujaat ki misalen qabr ke patthar mein rakkhi hain
hamari sari shamshiren ajaib ghar mein rakkhi hain

hawa ki dushmani se hausle TuTe nahin us ke
uDanen to parinde ke shikasta-par mein rakkhi hain

jise chahe dikhata hai jise chahe miTata hai
ki taswiren sabhi ab dast-e-shisha-gar mein rakkhi hain

charaghon ke mohalle mein bahut tezi se chalti hai
ye kaisi wahshaten yarab hawa ke sar mein rakkhi hain

hamare baad aane walon ko koi to samjhae
gae waqton ki tariKHen har ek patthar mein rakkhi hain

gulon se qurbaten sabit faqat KHushbu se hoti hain
qabaen to saba ki qabza-e-sarsar mein rakkhi hain

hum apna saz-o-saman le to aae hain nae ghar mein
magar kuchh dastaken ab bhi purane ghar mein rakkhi hain

wo rah-e-wasl ki paikar nahin binai chalti thi
meri aankhen tere didar ke manzar mein rakkhi hain

(618) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain written by Khwaja Rabbani at UrduPoint. Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain is one of the masterpieces written by Khwaja Rabbani. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Rabbani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Rabbani' above.

Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shujaat Ki Misalen Qabr Ke Patthar Mein Rakkhi Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.