Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai, Urdu Ghazal By Kokab Muradabadi

Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kokab Muradabadi. Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت چارہ ساز درد فرقت ہوتی جاتی ہے

کوکب مرادآبادی

محبت چارہ ساز درد فرقت ہوتی جاتی ہے

مری وحشت مجھے سامان راحت ہوتی جاتی ہے

ادھر وہ منفعل نظریں ادھر یہ مضطرب نالے

ندامت ہوتی جاتی ہے شکایت ہوتی جاتی ہے

نظر آتے ہیں وہ آمادۂ لطف و کرم خود ہی

مجھے بھی آج عرض غم کی ہمت ہوتی جاتی ہے

جبیں خود آستان بندگی کو ڈھونڈھ لیتی ہے

محبت خود نہیں ہوتی محبت ہوتی جاتی ہے

نہیں کھلتا یہ عقدہ جوش وحشت میں نہیں کھلتا

کہ کیوں بیزار منزل سے طبیعت ہوتی جاتی ہے

کسی نے یاد فرمایا ہے کیا پھر اپنی محفل میں

کہ از خود بیٹھے بیٹھے غیر حالت ہوتی جاتی ہے

چلی آتی ہیں پیہم ہچکیاں بیمار‌ الفت کو

مرتب خود بخود غم کی حکایت ہوتی جاتی ہے

شکایت عشق کو ہے حسن کے پیہم تغافل کی

قیامت میں یہ اک تازہ قیامت ہوتی جاتی ہے

مرتب ہو گئی فرد عمل یوں خود بخود کوکبؔ

مرے دیوان شعری کی کتابت ہوتی جاتی ہے

کوکب مرادآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai

Kokab Muradabadi

mohabbat chaara-saz-e-dard-e-furqat hoti jati hai
meri wahshat mujhe saman-e-rahat hoti jati hai

udhar wo munfail nazren idhar ye muztarib nale
nadamat hoti jati hai shikayat hoti jati hai

nazar aate hain wo aamada-e-lutf-o-karam KHud hi
mujhe bhi aaj arz-e-gham ki himmat hoti jati hai

jabin KHud aastan-e-bandagi ko DhunDh leti hai
mohabbat KHud nahin hoti mohabbat hoti jati hai

nahin khulta ye uqda josh-e-wahshat mein nahin khulta
ki kyon bezar manzil se tabiat hoti jati hai

kisi ne yaad farmaya hai kya phir apni mahfil mein
ki az-KHud baiThe baiThe ghair haalat hoti jati hai

chali aati hain paiham hichkiyan bimar-e-ulfat ko
murattab KHud-baKHud gham ki hikayat hoti jati hai

shikayat ishq ko hai husn ke paiham taghaful ki
qayamat mein ye ek taza qayamat hoti jati hai

murattab ho gai fard-e-amal yun KHud-baKHud 'kaukab'
mere diwan-e-sheri ki kitabat hoti jati he

(511) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai written by Kokab Muradabadi at UrduPoint. Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai is one of the masterpieces written by Kokab Muradabadi. You can also find the complete poetry collection of Kokab Muradabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kokab Muradabadi' above.

Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Chaara-saz-e-dard-e-furqat Hoti Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.