Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai, Urdu Ghazal By Krishn Bihari Noor

Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Krishn Bihari Noor. Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دکھائی دے نہ کبھی یہ تو ممکنات میں ہے

کرشن بہاری نور

دکھائی دے نہ کبھی یہ تو ممکنات میں ہے

وہ سب وجود میں ہے جو تصورات میں ہے

میں جس ہنر سے ہوں پوشیدہ اپنی غزلوں میں

اسی طرح وہ چھپا ساری کائنات میں ہے

کہ جیسے جسم کی رگ رگ میں دوڑتا ہے لہو

اسی طرح وہ رواں عرصۂ حیات میں ہے

کہ جیسے سنگ کے سینے میں کوئی بت ہے نہاں

اسی طرح کوئی صورت تخیلات میں ہے

کہ جیسے وقت گزرنے کا کچھ نہ ہو احساس

اسی طرح وہ شریک سفر حیات میں ہے

کہ جیسے بوئے وفا خود سپردگی میں ملے

اسی طرح کی مہک اس کی التفات میں ہے

کہ جیسے جھوٹ کئی جھوٹ کے سہارے لے

اسی طرح وہ پریشاں تکلفات میں ہے

گناہ بھی کوئی جیسے کرے ڈرے بھی بہت

اسی طرح کی جھجھک اس کی بات بات میں ہے

بس اب تو عشق ہے ہجر و وصال کچھ بھی نہیں

یہ ٹکڑا زیست کا دن میں ہے اور نہ رات میں ہے

نظر کے زاویہ بدلے ہے اور کچھ بھی نہیں

وہی ہے کعبے میں جو نورؔ سومناتھ میں ہے

کرشن بہاری نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai

Krishn Bihari Noor

dikhai de na kabhi ye to mumkinat mein hai
wo sab wajud mein hai jo tasawwuraat mein hai

main jis hunar se hun poshida apni ghazlon mein
usi tarah wo chhupa sari kaenat mein hai

ki jaise jism ki rag rag mein dauDta hai lahu
isi tarah wo rawan arsa-e-hayat mein hai

ki jaise sang ke sine mein koi but hai nihan
usi tarah koi surat taKHaiyyulat mein hai

ki jaise waqt guzarne ka kuchh na ho ehsas
usi tarah wo sharik-e-safar hayat mein hai

ki jaise bu-e-wafa KHud-supurdagi mein mile
usi tarah ki mahak us ki iltifat mein hai

ki jaise jhuT kai jhuT ke sahaare le
usi tarah wo pareshan takallufat mein hai

gunah bhi koi jaise kare Dare bhi bahut
usi tarah ki jhijhak us ki baat baat mein hai

bas ab to ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
ye TukDa zist ka din mein hai aur na raat mein hai

nazar ke zawiye badle hai aur kuchh bhi nahin
wahi hai kabe mein jo 'nur' somnath mein hai

(652) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai written by Krishn Bihari Noor at UrduPoint. Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai is one of the masterpieces written by Krishn Bihari Noor. You can also find the complete poetry collection of Krishn Bihari Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Krishn Bihari Noor' above.

Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dikhai De Na Kabhi Ye To Mumkinat Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.