Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun, Urdu Ghazal By Krishn Bihari Noor

Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Krishn Bihari Noor. Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ لمحہ زیست کا ہے بس آخری ہے اور میں ہوں

کرشن بہاری نور

یہ لمحہ زیست کا ہے بس آخری ہے اور میں ہوں

ہر ایک سمت سے اب واپسی ہے اور میں ہوں

حیات جیسے ٹھہر سی گئی ہو یہ ہی نہیں

تمام بیتی ہوئی زندگی ہے اور میں ہوں

میں اپنے جسم سے باہر ہوں اور ہوش بھی ہے

زمیں پہ سامنے اک اجنبی ہے اور میں ہوں

وہ کوئی خواب ہو چاہے خیال یا سچ ہو

فضا میں اڑتی ہوئی چاندنی ہے اور میں ہوں

کسی مقام پہ رکنے کو جی نہیں کرتا

عجیب پیاس عجب تشنگی ہے اور میں ہوں

اکیلا عشق ہے ہجر و وصال کچھ بھی نہیں

بس ایک عالم دیوانگی ہے اور میں ہوں

نہ لفظ ہے نہ صدا پھر بھی کیا نہیں واضح

کلام کرتی ہوئی خامشی ہے اور میں ہوں

سرور و کیف کا عالم حدوں کو چھوتا ہوا

خودی کا نشہ ہے کچھ آگہی ہے اور میں ہوں

مقابل اپنے کوئی ہے ضرور کون ہے وہ

بساط دہر ہے بازی بچھی ہے اور میں ہوں

جہاں نہ سکھ کا ہے احساس اور نہ دکھ کی کسک

اسی مقام پہ اب شاعری ہے اور میں ہوں

مرے وجود کو اپنے میں جذب کرتی ہوئی

نئی نئی سی کوئی روشنی ہے اور میں ہوں

جو چند لمحوں میں گزرا بتا دیا سب کچھ

پھر اس کے بعد وہی زندگی ہے اور میں ہوں

کرشن بہاری نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun

Krishn Bihari Noor

ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun
har ek samt se ab wapsi hai aur main hun

hayat jaise Thahar si gai ho ye hi nahin
tamam biti hui zindagi hai aur main hun

main apne jism se bahar hun aur hosh bhi hai
zamin pe samne ek ajnabi hai aur main hun

wo koi KHwab ho chahe KHayal ya sach ho
faza mein uDti hui chandni hai aur main hun

kisi maqam pe rukne ko ji nahin karta
ajib pyas ajab tishnagi hai aur main hun

akela ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
bas ek aalam-e-diwangi hai aur main hun

na lafz hai na sada phir bhi kya nahin wazeh
kalam karti hui KHamushi hai aur main hun

surur-o-kaif ka aalam hadon ko chhuta hua
KHudi ka nashsha hai kuchh aagahi hai aur main hun

muqabil apne koi hai zarur kaun hai wo
bisat-e-dahr hai bazi bichhi hai aur main hun

jahan na sukh ka hai ehsas aur na dukh ki kasak
usi maqam pe ab shairi hai aur main hun

mere wajud ko apne mein jazb karti hui
nai nai si koi raushni hai aur main hun

jo chand lamhon mein guzra bata diya sab kuchh
phir us ke baad wahi zindagi hai aur main hun

(790) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun written by Krishn Bihari Noor at UrduPoint. Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun is one of the masterpieces written by Krishn Bihari Noor. You can also find the complete poetry collection of Krishn Bihari Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Krishn Bihari Noor' above.

Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.