Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai, Urdu Ghazal By Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی یہ زاہد سے جا کے کہہ دے کہ رسم الٹی شباب کی ہے

کنور مہیندر سنگھ بیدی سحر

کوئی یہ زاہد سے جا کے کہہ دے کہ رسم الٹی شباب کی ہے

ثواب میں ہے گنہ کی لذت گنہ میں لذت ثواب کی ہے

رخ منور پہ در حقیقت مثال ایسی نقاب کی ہے

مہ دو ہفتہ کے روئے روشن پہ جیسے چادر سحاب کی ہے

کچھ ایسی توبہ شکن ہر اک بات اس بت لاجواب کی ہے

ہے گیسوؤں میں گھٹا کا عالم نظر میں مستی شراب کی ہے

ان آنسوؤں کو گلہ نہ سمجھو یہ دل سے تنگ آ کے گر رہے ہیں

اسی نے رسوا کیا ہے ہر سو اسی نے مٹی خراب کی ہے

یہی وہ کوزہ ہے دل کہ رہتے ہیں بند جس میں ہزار دریا

یہی وہ ذرہ ہے در حقیقت کہ جس میں ضو آفتاب کی ہے

نقاب روئے حسیں اٹھا کر نہ اس طرح ہم کو بھول جاؤ

مرادیں دل کی بھی پوری کر دو اگر نظر کامیاب کی ہے

کہاں کی جنت کدھر کا دوزخ کدھر کی دنیا کہاں کا عقبیٰ

یہ سب فسانہ یہ سب کہانی سحرؔ فقط شیخ و شباب کی ہے

کنور مہیندر سنگھ بیدی سحر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai
sawab mein hai gunah ki lazzat gunah mein lazzat sawab ki hai

ruKH-e-munawwar pe dar-haqiqat misal aisi naqab ki hai
mah-e-do-hafta ke ru-e-raushan pe jaise chadar sahab ki hai

kuchh aisi tauba-shikan har ek baat us but-e-la-jawab ki hai
hai gesuon mein ghaTa ka aalam nazar mein masti sharab ki hai

in aansuon ko gila na samjho ye dil se tang aa ke gir rahe hain
isi ne ruswa kiya hai har su isi ne miTTi KHarab ki hai

yahi wo kuza hai dil ki rahte hain band jis mein hazar dariya
yahi wo zarra hai dar-haqiqat ki jis mein zau aaftab ki hai

naqab ru-e-hasin uTha kar na is tarah hum ko bhul jao
muraden dil ki bhi puri kar do agar nazar kaamyab ki hai

kahan ki jannat kidhar ka dozaKH kidhar ki duniya kahan ka uqba
ye sab fasana ye sab kahani 'sahar' faqat shaiKH o shabab ki hai

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar at UrduPoint. Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai is one of the masterpieces written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. You can also find the complete poetry collection of Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar' above.

Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Ye Zahid Se Ja Ke Kah De Ki Rasm UlTi Shabab Ki Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.