Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai, Urdu Ghazal By Mahir Abdul Hayee

Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Abdul Hayee. Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کس کے آنگن سے گزر کر یہ ہوا آتی ہے

ماہر عبدالحی

کس کے آنگن سے گزر کر یہ ہوا آتی ہے

سسکیاں لیتی ہوئی بوئے حنا آتی ہے

کیا کمی ہے کہ نگاہوں سے گرے جاتے ہو

دل میں گھر کرنے کی تم کو تو ادا آتی ہے

دل کی باتیں مجھے کہنی نہیں آتیں لیکن

یہی کیا کم ہے تری حمد و ثنا آتی ہے

کھا رہی ہے تن بیمار کو اندر اندر

کس مسیحا کی دکاں سے یہ دوا آتی ہے

کس جگہ رک کے ذرا دیر کو دم لے کوئی

کہیں سایہ ہے شجر کا نہ سر آتی ہے

اب بہر گام بڑھی جاتی ہے تکلیف سفر

اب مسافر کو بہت یاد خدا آتی ہے

مدتوں سنگ مصیبت کی رگڑ کھاتا ہے

تب کہیں آئینۂ دل میں جلا آتی ہے

ایک حمام میں گویا کہ سبھی ننگے ہیں

شرم آتی ہے نہ دنیا کو حیا آتی ہے

اب تو اس کار گہہ شیشہ گری میں ماہرؔ

ہر نفس تازہ چھناکے کی صدا آتی ہے

ماہر عبدالحی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai

Mahir Abdul Hayee

kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai
siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai

kya kami hai ki nigahon se gire jate ho
dil mein ghar karne ki tum ko to ada aati hai

dil ki baaten mujhe kahni nahin aatin lekin
yahi kya kam hai teri hamd-o-sana aati hai

kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar
kis masiha ki dukan se ye dawa aati hai

kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi
kahin saya hai shajar ka na sar aati hai

ab bahar-gam baDhi jati hai taklif-e-safar
ab musafir ko bahut yaad-e-KHuda aati hai

muddaton sang musibat ki ragaD khata hai
tab kahin aaina-e-dil mein jila aati hai

ek hammam mein goya ki sabhi nange hain
sharm aati hai na duniya ko haya aati hai

ab to is kar-r-gah-e-shisha-gari mein 'mahir'
har-nafas taza chhanake ki sada aati hai

(588) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai written by Mahir Abdul Hayee at UrduPoint. Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai is one of the masterpieces written by Mahir Abdul Hayee. You can also find the complete poetry collection of Mahir Abdul Hayee by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Abdul Hayee' above.

Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.