Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main, Urdu Ghazal By Mahir Abdul Hayee

Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Abdul Hayee. Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سراب دیکھتا ہوں میں کہ آب دیکھتا ہوں میں

ماہر عبدالحی

سراب دیکھتا ہوں میں کہ آب دیکھتا ہوں میں

سمجھ میں جو نہ آ سکے وہ خواب دیکھتا ہوں میں

لہوں میں تیرتی ہے کوئی شے تری امید سی

اگا ہوا شفق میں آفتاب دیکھتا ہوں میں

مری نظر کے سامنے ہے آئنہ رکھا ہوا

تری نظر کا حسن انتخاب دیکھتا ہوں میں

یہ کس مقام پر ہے آج رخش فکر و آگہی

کہ جبرئیل کو بھی ہم رکاب دیکھتا ہوں میں

یہ کوئی نذر تو نہیں نگاہ دل نواز کی

کھلا ہوا جو دل میں اک گلاب دیکھتا ہوں میں

کسی کا دامن طلب کشادہ اس قدر نہیں

تری عطا کو بے حد و حساب دیکھتا ہوں میں

سمجھ سکے گا کون اے خدا تری کتاب کو

بدل گیا ہے سب کا سب نصاب دیکھتا ہوں میں

ابھی تو سن رہا ہوں میں گڑھی ہوئی کہانیاں

کھلے گا کب حقیقتوں کا باب دیکھتا ہوں میں

دل و نظر کی روشنی ہے جس کے حرف حرف میں

رکھی ہوئی وہ طاق پر کتاب دیکھتا ہوں میں

جو کھیلنے میں تیز تھا نواب ہو گیا ہے وہ

پڑھے لکھے کو خستہ و خراب دیکھتا ہوں میں

وہ ہوشیار آدمی کہ جاگتا ہے رات دن

کبھی کبھی اسے بھی مست خواب دیکھتا ہوں میں

جو ماہرؔ الم زدہ کے لب پہ آ گئی ہنسی

تو کھا رہا ہے کوئی پیچ و تاب دیکھتا ہوں میں

ماہر عبدالحی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main

Mahir Abdul Hayee

sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main
samajh mein jo na aa sake wo KHwab dekhta hun main

lahun mein tairti hai koi shai teri umid si
uga hua shafaq mein aaftab dekhta hun main

meri nazar ke samne hai aaina rakkha hua
teri nazar ka husn-e-intiKHab dekhta hun main

ye kis maqam par hai aaj raKHsh-e-fikr-o-agahi
ki jibrail ko bhi ham-rikab dekhta hun main

ye koi nazr to nahin nigah dil nawaz ki
khila hua jo dil mein ek gulab dekhta hun main

kisi ka daman-e-talab kushada is qadar nahin
teri ata ko be-had-o-hisab dekhta hun main

samajh sakega kaun ai KHuda teri kitab ko
badal gaya hai sab ka sab nisab dekhta hun main

abhi to sun raha hun main gaDhi hui kahaniyan
khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main

dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf mein
rakhi hui wo taq par kitab dekhta hun main

jo khelne mein tez tha nawab ho gaya hai wo
paDhe likhe ko KHasta-o-KHarab dekhta hun main

wo hoshiyar aadmi ki jagta hai raat din
kabhi kabhi use bhi mast-e-KHwab dekhta hun main

jo 'mahir'-e-alam-zada ke lab pe aa gai hansi
tu kha raha hai koi pech-o-tab dekhta hun main

(490) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main written by Mahir Abdul Hayee at UrduPoint. Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main is one of the masterpieces written by Mahir Abdul Hayee. You can also find the complete poetry collection of Mahir Abdul Hayee by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Abdul Hayee' above.

Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.