KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye, Urdu Ghazal By Mahmood Kazim

KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahmood Kazim. KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود کو ہر پل سے باخبر رکھئے

محمود کاظم

خود کو ہر پل سے باخبر رکھئے

لمحہ لمحہ سنبھال کر رکھئے

کس کو فرصت ہے بات کو پرکھے

اپنے لہجے کو پر اثر رکھئے

یہ ستارے بہت ہیں کج رفتار

ان کی رفتار پر نظر رکھئے

انتقال اور تبادلہ برحق

گھر کا سامان مختصر رکھئے

ہے بہت سخت کل کا ریگستاں

چھاگلیں آج ہی سے بھر رکھئے

شاعرانہ روش یہ ہے کاظمؔ

بے خبر بن کے سب خبر رکھئے

محمود کاظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye

Mahmood Kazim

KHud ko har pal se ba-KHabar rakhiye
lamha lamha sanbhaal kar rakhiye

kis ko fursat hai baat ko parkhe
apne lahje ko pur-asar rakhiye

ye sitare bahut hain kaj-raftar
in ki raftar par nazar rakhiye

intiqal aur tabaadala bar-haq
ghar ka saman muKHtasar rakhiye

hai bahut saKHt kal ka registan
chhagalen aaj hi se bhar rakhiye

shairana rawish ye hai 'kazim'
be-KHabar ban ke sab KHabar rakhiye

(506) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye written by Mahmood Kazim at UrduPoint. KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye is one of the masterpieces written by Mahmood Kazim. You can also find the complete poetry collection of Mahmood Kazim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahmood Kazim' above.

KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Ko Har Pal Se Ba-KHabar Rakhiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.