Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu, Urdu Nazam By Majid Ul Baqri

Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Majid Ul Baqri. Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زباں جس کو ہر اک بولے اسی کا نام ہے اردو

ماجد الباقری

زباں جس کو ہر اک بولے اسی کا نام ہے اردو

زبان شعر میں فطرت کا اک انعام ہے اردو

سبھی اس کو سمجھتے ہیں سبھی میں عام ہے اردو

زباں کوئی بھی ہو ہر ایک کا انجام ہے اردو

گئے وہ دن کہ جب کچھ لوگ ہی اس کو سمجھتے تھے

زبانوں میں ابھر آئی ہے طشت از بام ہے اردو

کہیں ہے ابتدا اس کی کہیں ہے انتہا مظہر

کہیں آغاز ہے اردو کہیں انجام ہے اردو

یہ با اخلاق قوموں میں سرشتہ ہے اخوت کا

سلوک غیر سے بھی آج خوش انجام ہے اردو

مرقع ہے حسیں تحریک افسانی کے خاکوں کا

مکمل اجتماع گوہر ایام ہے اردو

عروس زندگی کی تاب و زینت جس زباں سے ہے

اسی خوش کام فطرت کا اچھوتا نام ہے اردو

دیار پاک یا ہندوستاں دونوں وطن اس کے

زباں ہر ایک جس میں قید ہے وہ دام ہے اردو

ذرا سی ٹھیس سے بھی شیشۂ دل ٹوٹ جاتا ہے

بہت نازک مگر از قسم استحکام ہے اردو

بہ ہر عنواں یہی اک پیشوائے حسن و خوبی ہے

غلط ہے ایشیا میں مورد الزام ہے اردو

ممالک غیر میں بھی آج اس کو سب سمجھتے ہیں

وطن والوں میں ایک تصویر صد اقوام ہے اردو

کسی فرقے کا لیڈر ہو وہ لیڈر بن نہیں سکتا

نہ سمجھے جب تلک جنتا میں کتنی عام ہے اردو

سفارت ہو سنیما ہو کہ ٹی وی ریڈیو سب میں

سروں کا نشہ ہے فکر و نظر کا جام ہے اردو

اسی کو بولنے میں روح کو اب ہے سکوں حاصل

زمانے کی زبانوں کے لئے پیغام ہے اردو

مسلسل ارتقائے آدمیت اس سے مظہر ہے

بہ قید نطق ماجدؔ رہبر اقوام ہے اردو

ماجد الباقری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu

Majid Ul Baqri

zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu
zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu
sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu
zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu
gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the
zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu
kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar
kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu
ye ba-aKHlaq qaumon mein sirishta hai uKHuwwat ka
suluk-e-ghair se bhi aaj KHush-anjam hai urdu
muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke KHakon ka
mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu
urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai
usi KHush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu
dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke
zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu
zara si Thes se bhi shisha-e-dil TuT jata hai
bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu
ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-KHubi hai
ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu
mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain
watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu
kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta
na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu
safarat ho cinema ho ki Tw radio sab mein
suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu
isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil
zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu
musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai
ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu

(635) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu written by Majid Ul Baqri at UrduPoint. Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu is one of the masterpieces written by Majid Ul Baqri. You can also find the complete poetry collection of Majid Ul Baqri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Majid Ul Baqri' above.

Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu is a widely read Urdu Nazam. If you like Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.