Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia, Urdu Ghazal By Malika Afaq Zamani Begam

Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Malika Afaq Zamani Begam. Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چشم جاناں کے ہیں کس درجہ اشارات وسیع

ملکہ آفاق زمانی بیگم

چشم جاناں کے ہیں کس درجہ اشارات وسیع

ہر تخیل ہے بلند اس کا ہر اک بات وسیع

نہیں رہتی کبھی رفتار زمانہ یکساں

دہر میں دن ہے کبھی اور کبھی رات وسیع

خواہش وصل پہ فرمایا کہ ہاں ہاں ہوگا

مختصر لفظ ہیں لیکن ہیں اشارات وسیع

ایک ہچکی نے کیا قصۂ فرقت کو تمام

ہم سمجھتے تھے کہ ہیں ہجر کے حالات وسیع

کیا تعجب جو کفایت نہ کرے روز حساب

اس قدر ہیں مری تقدیر کی آفات وسیع

ہجر کی ایک گھڑی ایک برس ہوتی ہے

دن کو ہے طول جو فرقت میں تو ہے رات وسیع

حالت نزع میں وہ پوچھتے ہیں کیا کہئے

وقت تھوڑا سا ہے آفاقؔ شکایات وسیع

ملکہ آفاق زمانی بیگم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia

Malika Afaq Zamani Begam

chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia
har taKHayyul hai buland us ka har ek baat wasia

nahin rahti kabhi raftar-e-zamana yaksan
dahr mein din hai kabhi aur kabhi raat wasia

KHwahish-e-wasl pe farmaya ki han han hoga
muKHtasar lafz hain lekin hain ishaaraat wasia

ek hichki ne kiya qissa-e-furqat ko tamam
hum samajhte the ki hain hijr ke haalat wasia

kya tajjub jo kifayat na kare roz-e-hisab
is qadar hain meri taqdir ki aafat wasia

hijr ki ek ghaDi ek baras hoti hai
din ko hai tul jo furqat mein to hai raat wasia

haalat-e-naza mein wo puchhte hain kya kahiye
waqt thoDa sa hai 'afaq' shikayat wasia

(472) ووٹ وصول ہوئے

You can read Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia written by Malika Afaq Zamani Begam at UrduPoint. Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia is one of the masterpieces written by Malika Afaq Zamani Begam. You can also find the complete poetry collection of Malika Afaq Zamani Begam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Malika Afaq Zamani Begam' above.

Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chashm-e-jaanan Ke Hain Kis Darja Ishaaraat Wasia, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.