Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho, Urdu Ghazal By Malika Afaq Zamani Begam

Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Malika Afaq Zamani Begam. Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دنیا یہ سمجھتی ہے کہ آنکھوں سے نہاں ہو

ملکہ آفاق زمانی بیگم

دنیا یہ سمجھتی ہے کہ آنکھوں سے نہاں ہو

دل میرا یہ کہتا ہے قریب رگ جاں ہو

ہر دانے کی ہے نشوونما خاک میں مل کر

وہ قطرہ نہیں رہتا جو دریا میں نہاں ہو

تم طالب دیدار سے رخ کو نہ چھپاؤ

در پردہ نگاہوں میں ہو ظاہر میں نہاں ہو

مظلومی کا منشا ہے یہ حسرت کا تقاضہ

بستی پہ شہیدوں کی بیاباں کا گماں ہو

پھر جوش جنوں لے چلا صحرا کی طرف کو

کیا جانیے اب صبح کہاں شام کہاں ہو

ہاں صبر نہیں کہتے تو کیا کہتے ہیں اس کو

خاموش رہوں اور مرے منہ میں زباں ہو

منصور کی مانند اگر جان ہو قرباں

قصہ ہو مرا اور زمانے کی زباں ہو

مایوسی کی تصویر ہو حسرت کا مرقع

اس طرح سے میت کسی بیکس کی رواں ہو

دل میں ہو مرے تیرا تصور دم آخر

ہاں نزع میں بھی نام ترا ورد زباں ہو

دل بیٹھتا ہے سینہ میں یوں بحر الم سے

کشتی کوئی جس طرح تہہ آب رواں ہو

کہتے ہیں مجھے دیکھ کے اللہ رے نفرت

وہ کون سا دن ہو جو یہ مٹی میں نہاں ہو

بدنام کرے غیر تو خوش ہوتے ہیں آفاقؔ

برہم ہوں وہ مجھ پر جو یہ کہہ دوں مری جاں ہو

ملکہ آفاق زمانی بیگم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho

Malika Afaq Zamani Begam

duniya ye samajhti hai ki aankhon se nihan ho
dil mera ye kahta hai qarib-e-rag-e-jaan ho

har dane ki hai nashw-o-numa KHak mein mil kar
wo qatra nahin rahta jo dariya mein nihan ho

tum talib-e-didar se ruKH ko na chhupao
dar-parda nigahon mein ho zahir mein nihan ho

mazlumi ka mansha hai ye hasrat ka taqaza
basti pe shahidon ki bayaban ka guman ho

phir josh-e-junun le chala sahra ki taraf ko
kya jaaniye ab subh kahan sham kahan ho

han sabr nahin kahte to kya kahte hain is ko
KHamosh rahun aur mere munh mein zaban ho

mansur ki manind agar jaan ho qurban
qissa ho mera aur zamane ki zaban ho

mayusi ki taswir ho hasrat ka muraqqa
is tarah se mayyat kisi bekas ki rawan ho

dil mein ho mere tera tasawwur dam-e-aKHir
han naza mein bhi nam tera wird-e-zaban ho

dil baiThta hai sine mein yun bahr-e-alam se
kashti koi jis tarah tah-e-ab rawan ho

kahte hain mujhe dekh ke allah re nafrat
wo kaun sa din ho jo ye miTTi mein nihan ho

badnam kare ghair to KHush hote hain 'afaq'
barham hon wo mujh par jo ye kah dun meri jaan ho

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho written by Malika Afaq Zamani Begam at UrduPoint. Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho is one of the masterpieces written by Malika Afaq Zamani Begam. You can also find the complete poetry collection of Malika Afaq Zamani Begam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Malika Afaq Zamani Begam' above.

Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Duniya Ye Samajhti Hai Ki Aankhon Se Nihan Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.