Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat, Urdu Ghazal By Malikzaada Manzoor Ahmad

Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Malikzaada Manzoor Ahmad. Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں ہوں اور سلسلۂ اشک رواں آج کی رات

ملک زادہ منظور احمد

میں ہوں اور سلسلۂ اشک رواں آج کی رات

زندگی ہے ہمہ تن سوز بجاں آج کی رات

دیدۂ شوق میں ہے رقص کناں آج کی رات

غم کی بجھتی ہوئی شمعوں کا دھواں آج کی رات

اپنی پلکوں پہ لرزتے ہوئے تاروں کی قسم

سب کے ہونٹوں پہ ہے فریاد و فغاں آج کی رات

ہیں کہاں آہ وہ حوران تصور جن سے

دل تھا غیرت دہ گلزار جناں آج کی رات

سامنے کوئی نہیں روح نواز دل و جاں

زندگانی کی تمنا ہے گراں آج کی رات

چاندنی رات کے چہرے پہ ہے کیوں غم کا غبار

دھندلی دھندلی سی ہے کیوں کاہکشاں آج کی رات

وہ نہیں ہیں تو مقدر میں ہیں میرے منظورؔ

ماتم مرگ تمنائے جواں آج کی رات

ملک زادہ منظور احمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat

Malikzaada Manzoor Ahmad

main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat
zindagi hai hama-tan soz ba-jaan aaj ki raat

dida-e-shauq mein hai raqs-kunan aaj ki raat
gham ki bujhti hui shamon ka dhuan aaj ki raat

apni palkon pe larazte hue taron ki qasam
sab ke honTon pe hai fariyaad-o-fughan aaj ki raat

hain kahan aah wo huran-e-tasawwur jin se
dil tha ghairat-dah-e-gulzar-e-jinan aaj ki raat

samne koi nahin ruh-nawaz-e-dil-o-jaan
zindagani ki tamanna hai garan aaj ki raat

chandni raat ke chehre pe hai kyun gham ka ghubar
dhundli dhundli si hai kyun kahkashan aaj ki raat

wo nahin hain to muqaddar mein hain mere 'manzur'
matam-e-marg-e-tamanna-e-jawan aaj ki raat

(560) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat written by Malikzaada Manzoor Ahmad at UrduPoint. Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat is one of the masterpieces written by Malikzaada Manzoor Ahmad. You can also find the complete poetry collection of Malikzaada Manzoor Ahmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Malikzaada Manzoor Ahmad' above.

Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.