Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai, Urdu Nazam By Manmohan Talkh

Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Manmohan Talkh. Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو خود میں تشکیل ہو رہا ہے

منموہن تلخ

کبھی کبھی مجھ کو جان پڑتا ہے

جیسے مجھ میں

گھرا ہوا پربتوں سے

خالی سا اک محل ہو

جہاں کبھی

بدھ کے علم کا اک خزانہ تھا

جس جگہ

شلوک اور منتر ماحول میں

نہیں

خود مرے ہی اندر

مری صدا میں

ہمالیائی ہواؤں کی طرح گونجتے تھے

عجیب عظمت کے ساتھ میں یوں الگ تھلک تھا

کہ جس طرح میری موت کی بات

قرنہا قرن سے ہے وہ راز

میں ہی بس جس کو جانتا ہوں

میں اپنے اندر وہ آتما ہوں

جسے کبھی

اک عظیم پیشین گوئی کا سل بے سماعت

محل سمیت آسمان میں لے اڑا تھا

یا پھر

میں اک تناؤ ہوں

آسمانوں کی سمت

بچپن کے حیرت انگیز خواب کے بے بنے محل سا

جہاں مرے چاروں سمت راہیں

سفید ریت اور برف کی

اپنی اپنی حد سے

مری طرف بڑھ رہی ہیں

جیسے

میں دیوتاؤں کا ہوں وہ مسکن

جو سب کو اپنی طرف بلاتا ہے اور

سب کی پہنچ سے کچھ اس طرح پرے ہے

کہ جیسے میں دیکھنے کی حد ہوں

میں ایک پربت ہوں

وادیاں جس نے بانٹ دی ہیں

میں اک گپھا ہوں

جو وادیوں کو ملا رہی ہے

میں جیسے صدیوں کی یاترا کی وہ گہری آواز ہوں جو اب تک

گپھا کے اندر سے آ رہی ہے

میں ایک بھکشو ہوں

جو کبھی کا

اسی گپھا میں سما چکا ہے

جو خود میں تشکیل ہو رہا تھا

جو خود میں تشکیل ہو رہا ہے

منموہن تلخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai

Manmohan Talkh

kabhi kabhi mujh ko jaan paDta hai
jaise mujh mein
ghira hua parbaton se
KHali sa ek mahal ho

jahan kabhi
budh ke ilm ka ek KHazana tha
jis jagah
shlok aur mantar mahaul mein
nahin
KHud mere hi andar
meri sada mein
himaliyai hawaon ki tarah gunjte the
ajib azmat ke sath main yun alag-thalak tha
ki jis tarah meri maut ki baat
qarnaha qarn se hai wo raaz
main hi bas jis ko jaanta hun
main apne andar wo aatma hun
jise kabhi
ek azim peshen-goi ka sail-e-be-samaat
mahal samet aasman mein le uDa tha
ya phir
main ek tanaw hun
aasmanon ki samt
bachpan ke hairat-angez KHwab ke be bane mahal sa
jahan mere chaaron samt rahen
safed ret aur barf ki
apni apni had se
meri taraf baDh rahi hain
jaise
main dewtaon ka hun wo maskan
jo sab ko apni taraf bulata hai aur
sab ki pahunch se kuchh is tarah pare hai
ki jaise main dekhne ki had hun
main ek parbat hun
wadiyan jis ne banT di hain
main ek gupha hun
jo wadiyon ko mila rahi hai
main jaise sadiyon ki yatra ki wo gahri aawaz hun jo ab tak
gupha ke andar se aa rahi hai
main ek bhikshu hun
jo kabhi ka
isi gupha mein sama chuka hai
jo KHud mein tashkil ho raha tha
jo KHud mein tashkil ho raha hai

(556) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai written by Manmohan Talkh at UrduPoint. Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai is one of the masterpieces written by Manmohan Talkh. You can also find the complete poetry collection of Manmohan Talkh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manmohan Talkh' above.

Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Jo KHud Mein Tashkil Ho Raha Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.