Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko, Urdu Ghazal By Mardan Ali Khan Rana

Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mardan Ali Khan Rana. Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کر دیا زار غم عشق نے ایسا مجھ کو

مردان علی خاں رعنا

کر دیا زار غم عشق نے ایسا مجھ کو

موت آئی بھی تو بستر پہ نہ پایا مجھ کو

کبھی جنگل کبھی بستی میں پھرایا مجھ کو

آہ کیا کیا نہ کیا عشق نے رسوا مجھ کو

دشمن جاں ہوا در پردہ مرا جذبۂ عشق

منہ چھپانے لگے وہ جان کے شیدا مجھ کو

روز روشن ہو نہ کیوں کر مری آنکھوں میں سیاہ

ہے ترے گیسوئے شب رنگ کا سودا مجھ کو

اک پری رو کی محبت کا میں ہوں دیوانہ

نہ پری کا نہ کسی جن کا ہے سایہ مجھ کو

روز و شب شوخ نے کیا کیا نہ دکھائے نیرنگ

رخ دکھایا کبھی گیسوئے چلیپا مجھ کو

دن بھلے آئے تو اعدا سبب خیر ہوئے

بد دعا نے کیا اغیار کی اچھا مجھ کو

فخر سے بزم بتاں میں وہ کہا کرتے ہیں

پیار کچھ روز سے اب کرتے ہیں رعناؔ مجھ کو

مردان علی خاں رعنا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko

Mardan Ali Khan Rana

kar diya zar gham-e-ishq ne aisa mujh ko
maut aai bhi to bistar pe na paya mujh ko

kabhi jangal kabhi basti mein phiraya mujh ko
aah kya kya na kiya ishq ne ruswa mujh ko

dushman-e-jaan hua dar-parda mera jazba-e-ishq
munh chhupane lage wo jaan ke shaida mujh ko

roz-e-raushan ho na kyunkar meri aankhon mein siyah
hai tere gesu-e-shab-rang ka sauda mujh ko

ek pari-ru ki mohabbat ka main hun diwana
na pari ka na kisi jin ka hai saya mujh ko

roz-o-shab shoKH ne kya kya na dikhae nairang
ruKH dikhaya kabhi gesu-e-chalipa mujh ko

din bhale aae to aada sabab-e-KHair hue
bad-dua ne kiya aghyar ki achchha mujh ko

faKHr se bazm-e-butan mein wo kaha karte hain
pyar kuchh roz se ab karte hain 'rana' mujh ko

(363) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko written by Mardan Ali Khan Rana at UrduPoint. Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko is one of the masterpieces written by Mardan Ali Khan Rana. You can also find the complete poetry collection of Mardan Ali Khan Rana by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mardan Ali Khan Rana' above.

Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.