Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye, Urdu Ghazal By Mariyam Fatima

Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mariyam Fatima. Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کارواں دیر سے تیار ہے جانے کے لیے

مریم فاطمہ

کارواں دیر سے تیار ہے جانے کے لیے

ہم ہی بیٹھے ہیں کوئی سوگ منانے کے لیے

یہ تو اب ختم ہوئی یاد ہی کرتے کرتے

دوسری عمر ملے تجھ کو بھلانے کے لیے

جس نے ظلمت میں ہمیں چھوڑ دیا تھا تنہا

آ گیا شمع وہ تربت پہ جلانے کے لیے

بیچ محفل میں تماشہ مجھے کرنا ہی پڑا

اس کو پیمان وفا یاد دلانے کے لیے

کہکشاں پھول دھنک سب ہیں مگر دنیا میں

رنگ کم ہیں تری تصویر سجانے کے لیے

عشق میں اپنے انہیں دعویٔ وحشت بھی ہے

اور بیٹھے ہیں گریبان سلانے کے لیے

راز کچھ بھی نہیں ہے غیر کہ باتوں میں نہ آ

سب بہانے ہیں تجھے پاس بٹھانے کے لیے

کیا ترا ہوگا زمانہ یہ ہوا ہے کس کا

تو نے کیوں چھوڑ دیا مجھ کو زمانہ کے لیے

اس قدر روح میں شامل تھی کہانی اس کی

مجھ کو مٹنا ہی پڑا اس کو مٹانے کے لیے

وائے قسمت کے اسے اب ہے وفا کی حسرت

جب مراسم ہی نہیں کوئی نبھانے کے لیے

کنج زنداں میں پھر نکہت گل پھیل گئی

پھر بہار آ گئی بلبل کو رلانے کے لیے

خواب بھی آنکھ میں بیدار ہوئے جاتے ہیں

کون آیا ہے مجھے شام سلانے کے لیے

مریم فاطمہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye

Mariyam Fatima

karwan der se tayyar hai jaane ke liye
hum hi baiThe hain koi sog manane ke liye

ye to ab KHatm hui yaad hi karte karte
dusri umr mile tujh ko bhulane ke liye

jis ne zulmat mein hamein chhoD diya tha tanha
aa gaya shama wo turbat pe jalane ke liye

bich mahfil mein tamasha mujhe karna hi paDa
us ko paiman-e-wafa yaad dilane ke liye

kahkashan phul dhanak sab hain magar duniya mein
rang kam hain teri taswir sajaane ke liye

ishq mein apne unhen dawa-e-wahsaht bhi hai
aur baiThe hain gareban silane ke liye

raaz kuchh bhi nahin hai ghair ki baaton mein na aa
sab bahane hain tujhe pas biThane ke liye

kya tera hoga zamana ye hua hai kis ka
tu ne kyon chhoD diya mujh ko zamana ke liye

is qadar ruh mein shamil thi kahani us ki
mujh ko miTna hi paDa us ko miTane ke liye

wa-e-qismat ke use ab hai wafa ki hasrat
jab marasim hi nahin koi nibhane ke liye

kunj-e-zindan mein phir nikhat-e-gul phail gai
phir bahaar aa gai bulbul ko rulane ke liye

KHwab bhi aankh mein bedar hue jate hain
kaun aaya hai mujhe sham sulane ke liye

(639) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye written by Mariyam Fatima at UrduPoint. Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye is one of the masterpieces written by Mariyam Fatima. You can also find the complete poetry collection of Mariyam Fatima by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mariyam Fatima' above.

Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karwan Der Se Tayyar Hai Jaane Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.