Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq, Urdu Ghazal By Maseehullah Khan Ataa

Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maseehullah Khan Ataa. Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم کو خدا نے دل دیا دل میں دیا گداز عشق

مسیح اللہ خاں عطاء

ہم کو خدا نے دل دیا دل میں دیا گداز عشق

بخشا خدا نے آپ کو حسن کرشمہ ساز عشق

رعب جمال یار سے خم ہے سر نیاز عشق

حسن کی بارگاہ میں پڑھتے ہیں ہم نماز عشق

کوئی بتائے تو ہمیں کس کو نہیں ہے آز عشق

کون ہے اس جہان میں بے غم و بے نیاز عشق

خاک میں مل کے عشق میں ملتی ہیں سر بلندیاں

ہو کے ذلیل و خوار عشق ہوتا ہے سرفراز عشق

یارا رہا نہ ضبط کا تاب رہی نہ صبر کی

آہ و فغاں نے کر دیا فاش ہمارا راز عشق

زاہد نا شناس کا عشق سے واسطہ ہے کیا

کیجئے عاشقوں سے حل مسئلہ جواز عشق

صنعت کردگار پر کرتا ہوں جان و دل نثار

رکھتا ہوں ساری عمر سے حسن سے ساز و باز عشق

کھاتا ہے پہلے دل کو یہ پنجۂ غم سے نوچ کر

کرتا ہے آدمی پہ وار جس گھڑی شاہباز عشق

ہم وہ رہے نہ دل رہا دل میں نہ ولولے رہے

بزم شباب اٹھ گئی بند ہے سوز و ساز عشق

حسن میں ان کے اور بھی ٹک گئے ہوتے چار چاند

کاش کہ ہوتے وہ کبھی دلبر و دل نواز عشق

مسیح اللہ خاں عطاء

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq

Maseehullah Khan Ataa

hum ko KHuda ne dil diya dil mein diya gudaz-e-ishq
baKHsha KHuda ne aap ko husn-e-karishma-saz-e-ishq

roab-e-jamal-e-yar se KHam hai sar-e-niyaz-e-ishq
husn ki bargah mein paDhte hain hum namaz-e-ishq

koi batae to hamein kis ko nahin hai aaz-e-ishq
kaun hai is jahan mein be-gham-o-be-niyaz-e-ishq

KHak mein mil ke ishq mein milti hain sar-bulandiyan
ho ke zalil-o-KHwar ishq hota hai sarfaraaz ishq

yara raha na zabt ka tab rahi na sabr ki
aah-o-fughan ne kar diya fash hamara raaz-e-ishq

zahid-e-na-shanas ka ishq se wasta hai kya
kijiye aashiqon se hal masala-e-jawaz-e-ishq

sanat-e-kirdgar par karta hun jaan-o-dil nisar
rakhta hun sari umr se husn se saz-o-baz-e-ishq

khata hai pahle dil ko ye panja-e-gham se noch kar
karta hai aadmi pe war jis ghaDi shah-baz-e-ishq

hum wo rahe na dil raha dil mein na walwale rahe
bazm-e-shabab uTh gai band hai soz-o-saz-e-ishq

husn mein un ke aur bhi Tak gae hote chaar-chand
kash ki hote wo kabhi dilbar-o-dil-nawaz-e-ishq

(610) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq written by Maseehullah Khan Ataa at UrduPoint. Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq is one of the masterpieces written by Maseehullah Khan Ataa. You can also find the complete poetry collection of Maseehullah Khan Ataa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maseehullah Khan Ataa' above.

Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Ko KHuda Ne Dil Diya Dil Mein Diya Gudaz-e-ishq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.