Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair, Urdu Ghazal By Mazhar Ul Qayyum Mazhar

Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mazhar Ul Qayyum Mazhar. Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

داستان ہجر کیا ہے خونچکاں تیرے بغیر

مظہرالقیوم مظہر

داستان ہجر کیا ہے خونچکاں تیرے بغیر

ایک پل ہے سو برس اے جان جاں تیرے بغیر

کیا سناؤں حال دل اے محو خواب عز و ناز

ہو چکی ہے زندگی وقف فغاں تیرے بغیر

دیدنی ہے حسن فطرت پر ہمارے واسطے

یہ بہار روح پرور ہے خزاں تیرے بغیر

ہے شمار آمد و رفت نفس کا مشغلہ

بن گئی ہے زندگی اک چیستاں تیرے بغیر

تجھ سے کیا چھوٹے کہ ہم سارے جہاں سے چھٹ گئے

ہو گئے ہیں یوسف بے کارواں تیرے بغیر

یہ شب فرقت تو کاٹے سے بھی کٹنے کو نہیں

رک گئی ہو جیسے یہ عمر رواں تیرے بغیر

خوف لگتا ہے مجھے للہ تو بھی ساتھ چل

مل رہا ہے خاک میں اک نوجواں تیرے بغیر

آ کہ دنیا منتظر ہے کب سے استقبال کو

ہر زباں پر الاماں ہے اے اماں تیرے بغیر

مثل طوطی کل چہکتا تھا وہ بزم ناز میں

آج گم ہے مظہرؔ شیریں زباں تیرے بغیر

مظہرالقیوم مظہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair

Mazhar Ul Qayyum Mazhar

dastan-e-hijr kya hai KHun-chakan tere baghair
ek pal hai sau baras ai jaan-e-jaan tere baghair

kya sunaun haal-e-dil ai mahw-e-KHwab-e-izz-o-naz
ho chuki hai zindagi waqf-e-fughan tere baghair

didani hai husn-e-fitrat par hamare waste
ye bahaar-e-ruh-parwar hai KHizan tere baghair

hai shumar-e-amad-o-raft-e-nafas ka mashghala
ban gai hai zindagi ek chistan tere baghair

tujh se kya chhuTe ki hum sare jahan se chhuT gae
ho gae hain yusuf-e-be-karwan tere baghair

ye shab-e-furqat to kaTe se bhi kaTne ko nahin
ruk gai ho jaise ye umr-e-rawan tere baghair

KHauf lagta hai mujhe lillah tu bhi sath chal
mil raha hai KHak mein ek naujawan tere baghair

aa ki duniya muntazir hai kab se istiqbaal ko
har zaban par al-aman hai ai aman tere baghair

misl-e-tuti kal chahakta tha wo bazm-e-naz mein
aaj gum hai 'mazhar'-e-shirin-zaban tere baghair

(669) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair written by Mazhar Ul Qayyum Mazhar at UrduPoint. Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair is one of the masterpieces written by Mazhar Ul Qayyum Mazhar. You can also find the complete poetry collection of Mazhar Ul Qayyum Mazhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mazhar Ul Qayyum Mazhar' above.

Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dastan-e-hijr Kya Hai KHun-chakan Tere Baghair, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.