Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta, Urdu Ghazal By Meem Hasan Lateefi

Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meem Hasan Lateefi. Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غیروں کا تو کہنا کیا محرم سے نہیں کہتا

م حسن لطیفی

غیروں کا تو کہنا کیا محرم سے نہیں کہتا

میں عالم غم اپنا عالم سے نہیں کہتا

پڑھ لیتی ہیں کیفیت کچھ تڑپی ہوئی نظریں

دکھ اپنے میں ہر چشم پر نم سے نہیں کہتا

رہ گیر ہوں میں ایسا ہر غم سے گزرتا ہے

دعوت پہ جو رندان خرم سے نہیں کہتا

موسم ہمہ گردش ہے پس ماندۂ گردش ہے

لب تشنہ کوئی یہ شے کیوں جم سے نہیں کہتا

کسب متحرک سے پابستہ نسب طغرے

یہ کیا ہے کوئی اہل خاتم سے نہیں کہتا

آ داغ محبت کے سانچے میں تجھے ڈھالوں

خاتم سے میں کہتا ہوں درہم سے نہیں کہتا

کچھ بات تھی کہنے کی کچھ بھول گیا اب میں

فطرت سے نہیں کہتا آدم سے نہیں کہتا

کہتے تو نہیں باور نا کہئے تو کافر تر

کہنے کی قسم مجھ کو میں دم سے نہیں کہتا

کہلانے میں خود ان کا کچھ تکملہ نارس ہے

الٹے انہیں شکوے ہیں کیوں ہم سے نہیں کہتا

ہاں میری یہ الجھن تو ہر دل میں کھٹکتی ہے

کچھ مڑ کے کوئی زلف برہم سے نہیں کہتا

کیوں ہو نہ جنوں کم گو جب ہوتا ہے یہ زیرک

دہرائی ہوئی باتیں محرم سے نہیں کہتا

کہنے سے ہوا گہرا کچھ اور غم پنہاں

میں سائے سے کہتا ہوں ہمدم سے نہیں کہتا

جس لمحے سے دیکھا ہے اک شعر سراپا کو

دانستہ کوئی مصرع اس دم سے نہیں کہتا

دیتے ہیں وہ محفل میں یوں داد لطیفیؔ کو

اشعار یہ کیا اکثر مبہم سے نہیں کہتا

م حسن لطیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta

Meem Hasan Lateefi

ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta
main aalam-e-gham apna aalam se nahin kahta

paDh leti hain kaifiyyat kuchh taDpi hui nazren
dukh apne main har chashm-e-pur-nam se nahin kahta

rahgir hun main aisa har gham se guzarta hai
dawat pe jo rindan-e-KHurram se nahin kahta

mausam hama-gardish hai pasmanda-e-gardish hai
lab-tishna koi ye shai kyun jam se nahin kahta

kasb-e-mutharrik se pa-basta nasab tughre
ye kya hai koi ahal-e-KHatam se nahin kahta

aa dagh-e-mohabbat ke sanche mein tujhe Dhaalun
KHatam se main kahta hun dirham se nahin kahta

kuchh baat thi kahne ki kuchh bhul gaya ab main
fitrat se nahin kahta aadam se nahin kahta

kahte to nahin bawar na kahiye to kafir-tar
kahne ki qasam mujh ko main dam se nahin kahta

kahlane mein KHud un ka kuchh takmila naras hai
ulTe unhin shikwe hain kyun hum se nahin kahta

han meri ye uljhan to har dil mein khaTakti hai
kuchh muD ke koi zulf-e-barham se nahin kahta

kyun ho na junun kam-go jab hota hai ye zirak
dohrai hui baaten mahram se nahin kahta

kahne se hua gahra kuchh aur gham-e-pinhan
main sae se kahta hun hamdam se nahin kahta

jis lamhe se dekha hai ek sher sarapa ko
danista koi misra is dam se nahin kahta

dete hain wo mahfil mein yun dad 'latifi' ko
ashaar ye kya aksar mubham se nahin kahta

(597) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta written by Meem Hasan Lateefi at UrduPoint. Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta is one of the masterpieces written by Meem Hasan Lateefi. You can also find the complete poetry collection of Meem Hasan Lateefi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meem Hasan Lateefi' above.

Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.