Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata, Urdu Ghazal By Meer Mehdi Majrooh

Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Mehdi Majrooh. Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کل نشے میں تھا وہ بت مسجد میں گر آ جاتا

میر مہدی مجروح

کل نشے میں تھا وہ بت مسجد میں گر آ جاتا

ایماں سے کہو یارو پھر کس سے رہا جاتا

مردے کو جلا لیتے گرتے کو اٹھا لیتے

اک دم کو جو یاں آتے تو آپ کا کیا جاتا

یہ کہیے کہ دھیان اس کو آتا ہی نہیں ورنہ

محشر سے تو سو فتنے وہ دم میں اٹھا جاتا

محفل میں مجھے دیکھا تو ہنس کے لگے کہنے

آنے سے ہر اک کے ہے صحبت کا مزا جاتا

ایذائیں یہ پائی ہیں مقدور اگر ہوتا

میں رسم تعشق کو دنیا سے اٹھا جاتا

کیوں پاس مرے آ کر یوں بیٹھے ہو منہ پھیرے

کیا لب ترے مصری ہیں میں جن کو چبا جاتا

کیا جلوہ نما وہ مہ کوٹھے پہ ہوا آ کر

کچھ آج سویرے سے سورج ہے چھپا جاتا

یہ کاہشیں کیوں ہوتیں گھبرا کے اگر یہ دل

پہلو سے نکل جاتا آرام سا آ جاتا

اچھا ہوا محفل میں مجروحؔ نہ کچھ بولا

وہ حال اگر کہتا تو کس سے سنا جاتا

میر مہدی مجروح

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata

Meer Mehdi Majrooh

kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata
iman se kaho yaro phir kis se raha jata

murde ko jila lete girte ko uTha lete
ek dam ko jo yan aate to aap ka kya jata

ye kahiye ki dhyan us ko aata hi nahin warna
mahshar se to sau fitne wo dam mein uTha jata

mahfil mein mujhe dekha to hans ke lage kahne
aane se har ek ke hai sohbat ka maza jata

izaen ye pai hain maqdur agar hota
main rasm-e-tashshuq ko duniya se uTha jata

kyun pas mere aa kar yun baiThe ho munh phere
kya lab tere misri hain main jin ko chaba jata

kya jalwa-numa wo mah koThe pe hua aa kar
kuchh aaj sawere se suraj hai chhupa jata

ye kahishen kyun hotin ghabra ke agar ye dil
pahlu se nikal jata aaram sa aa jata

achchha hua mahfil mein 'majruh' na kuchh bola
wo haal agar kahta to kis se suna jata

(618) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata written by Meer Mehdi Majrooh at UrduPoint. Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata is one of the masterpieces written by Meer Mehdi Majrooh. You can also find the complete poetry collection of Meer Mehdi Majrooh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Mehdi Majrooh' above.

Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.