Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain, Urdu Ghazal By Meer Mehdi Majrooh

Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Mehdi Majrooh. Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جو چپکے سے آئے بیٹھے ہیں

میر مہدی مجروح

یہ جو چپکے سے آئے بیٹھے ہیں

لاکھ فتنے اٹھائے بیٹھے ہیں

وہ نہیں ہیں تو درد کو ان کے

سینے سے ہم لگائے بیٹھے ہیں

یہ بھی کچھ جی میں آ گئی ہوگی

کیا وہ میرے بٹھائے بیٹھے ہیں

تذکرہ وصل کا نہیں خالی

وہ بھی کچھ لطف پائے بیٹھے ہیں

مجھ کو مارا ہے پر خجالت سے

وہ بھی گردن جھکائے بیٹھے ہیں

رنگ جمتا ہے یاں نہ آنے کا

یعنی مہندی لگائے بیٹھے ہیں

مجھ کو محفل میں دیکھ کر بولے

آپ یاں کیوں کہ آئے بیٹھے ہیں

خیر ہو ہیں بگاڑ کے آثار

کچھ وہ منہ کو بنائے بیٹھے ہیں

غم ہمیں کھا رہا ہے تو کیا غم

ہم بھی تو غم کو کھائے بیٹھے ہیں

زد میں گر ہے عدو تو ہو وہ تو

گھات مجھ پر لگائے بیٹھے ہیں

کھوئے جانے کا اپنے دھیان نہیں

کچھ تو ایسا ہی پائے بیٹھے ہیں

شرم سے ہیں وہ لاکھ پردے میں

گو مرے پاس آئے بیٹھے ہیں

شمع ساں گو گھلے ہی جاتے ہیں

اس سے پر لو لگائے بیٹھے ہیں

اس گلی میں بسان نقش قدم

ہم بھی پاؤں جمائے بیٹھے ہیں

ہو نہ اے شمع حسن پر نازاں

وہ بھی محفل میں آئے بیٹھے ہیں

شوخیاں خود ہیں پردہ در ان کی

کیوں وہ منہ کو چھپائے بیٹھے ہیں

فرد باطل سمجھ کے دنیا کو

نقش ہستی مٹائے بیٹھے ہیں

کیا ہے اس خوش خرام کی آمد

فتنے جو جائے جائے بیٹھے ہیں

طور جس آگ نے جلایا تھا

ہم وہ دل میں چھپائے بیٹھے ہیں

چشمکیں غیر سے دکھا دیں گے

ہم بھی آنکھیں لڑائے بیٹھے ہیں

کل تقدس مآب مسجد تھے

آج رندوں میں آئے بیٹھے ہیں

لاابالی خرام ہے مجروحؔ

وضع کیسی بنائے بیٹھے ہیں

میر مہدی مجروح

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain

Meer Mehdi Majrooh

ye jo chupke se aae baiThe hain
lakh fitne uThae baiThe hain

wo nahin hain to dard ko un ke
sine se hum lagae baiThe hain

ye bhi kuchh ji mein aa gai hogi
kya wo mere biThae baiThe hain

tazkira wasl ka nahin KHali
wo bhi kuchh lutf pae baiThe hain

mujh ko mara hai par KHajalat se
wo bhi gardan jhukae baiThe hain

rang jamta hai yan na aane ka
yani mehndi lagae baiThe hain

mujh ko mahfil mein dekh kar bole
aap yan kyun ki aae baiThe hain

KHair ho hain bigaD ke aasar
kuchh wo munh ko banae baiThe hain

gham hamein kha raha hai to kya gham
hum bhi to gham ko khae baiThe hain

zad mein gar hai adu to ho wo to
ghat mujh par lagae baiThe hain

khoe jaane ka apne dhyan nahin
kuchh to aisa hi pae baiThe hain

sharm se hain wo lakh parde mein
go mere pas aae baiThe hain

shama san go ghule hi jate hain
us se par lau lagae baiThe hain

us gali mein basan-e-naqsh-e-qadam
hum bhi panw jamae baiThe hain

ho na ai shama husn par nazan
wo bhi mahfil mein aae baiThe hain

shoKHiyan KHud hain parda-dar un ki
kyun wo munh ko chhupae baiThe hain

fard-e-baatil samajh ke duniya ko
naqsh-e-hasti miTae baiThe hain

kya hai us KHush-KHiram ki aamad
fitne jo jae jae baiThe hain

tur jis aag ne jalaya tha
hum wo dil mein chhupae baiThe hain

chashmaken ghair se dikha denge
hum bhi aankhen laDae baiThe hain

kal taqaddus-maab masjid the
aaj rindon mein aae baiThe hain

la-ubaali KHiram hai 'majruh'
waza kaisi banae baiThe hain

(550) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain written by Meer Mehdi Majrooh at UrduPoint. Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain is one of the masterpieces written by Meer Mehdi Majrooh. You can also find the complete poetry collection of Meer Mehdi Majrooh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Mehdi Majrooh' above.

Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jo Chupke Se Aae BaiThe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.