Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj, Urdu Ghazal By Meer Muzaffar Husain Zameer

Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Muzaffar Husain Zameer. Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

باغ میں آمد بہار ہے آج

میر مظفر حسین ضمیر

باغ میں آمد بہار ہے آج

چشم نرگس کو انتظار ہے آج

پا بہ زنجیر موج ایسے کہوں

باغ میں سرو جوۓ بار ہے آج

آئے گا کیا کوئی صنوبر قد

قمریوں کا مگر شکار ہے آج

نگہت گل ہوئی ہے مژدہ رساں

باد کے گھوڑے پر سوار ہے آج

وصف کس کا کیا تھا بلبل نے

گل جو اس کے گلے کا ہار ہے آج

سنگ برسر زناں یہ کس کے لئے

کہو گلشن میں آبشار ہے آج

خندۂ گل کو دیکھ کر بلبل

ہمہ تن نالہ ہائے زار ہے آج

کہا باد صبا نے اے ناداں

سینۂ دشمناں فگار ہے آج

شاہ دلدل سوار آتا ہے

تا فلک نور کا غبار ہے آج

کہا میں نے کہ یہ سخن تیرا

مژدۂ جان بے قرار ہے آج

حبذا مرحبا شراب طہور

ساقیا رخصت خمار ہے آج

فرط شوق جمال یار کے ہاتھ

دامن صبر تار-تار ہے آج

آئیے اے ضمیرؔ مطلب پر

یاں سے منظور اختصار ہے آج

میر مظفر حسین ضمیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj

Meer Muzaffar Husain Zameer

bagh mein aamad-e-bahaar hai aaj
chashm-e-nargis ko intizar hai aaj

pa-ba-zanjir mauj aise kahun
bagh mein sarw-e-ju-e-bar hai aaj

aaega kya koi sanobar-qad
qumriyon ka magar shikar hai aaj

nighat-e-gul hui hai muzhda-rasan
baad ke ghoDe par sawar hai aaj

wasf kis ka kiya tha bulbul ne
gul jo us ke gale ka haar hai aaj

sang-barsar-zanan ye kis ke liye
kaho gulshan mein aabshaar hai aaj

KHanda-e-gul ko dekh kar bulbul
hama-tan nala-ha-e-zar hai aaj

kaha baad-e-saba ne ai nadan
sina-e-dushmanan figar hai aaj

shah-e-duldul-sawar aata hai
ta falak nur ka ghubar hai aaj

kaha main ne ki ye suKHan tera
muzhda-e-jaan be-qarar hai aaj

habbaza marhaba sharab-e-tahur
saqiya ruKHsat-e-KHumar hai aaj

fart-e-shauq-e-jamal-e-yar ke hath
daman-e-sabr tar-tar hai aaj

aaiye ai 'zamir' matlab par
yan se manzur iKHtisar hai aaj

(700) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj written by Meer Muzaffar Husain Zameer at UrduPoint. Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj is one of the masterpieces written by Meer Muzaffar Husain Zameer. You can also find the complete poetry collection of Meer Muzaffar Husain Zameer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Muzaffar Husain Zameer' above.

Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bagh Mein Aamad-e-bahaar Hai Aaj, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.