KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Aazam

KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Aazam. KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خفا ہو کر خیالوں میں بھی آنا چھوڑ دیتے ہیں

محمد اعظم

خفا ہو کر خیالوں میں بھی آنا چھوڑ دیتے ہیں

کسی کو یار اس درجہ بھی تنہا چھوڑ دیتے ہیں

سمجھتے ہی نہیں ہیں لوگ نا سمجھی کی مشکل کو

سہولت دیکھتے ہیں اور سمجھنا چھوڑ دیتے ہیں

یہ ہم بھی جانتے ہیں ملک گیری شوق ہے بیجا

مگر ہم جیت کر فوراً علاقہ چھوڑ دیتے ہیں

ترے دو گھونٹ پی کر تشنگی بھڑکی تو یہ جانا

وہی اچھے ہیں جو بالکل پیاسا چھوڑ دیتے ہیں

ہمارے دل میں اب طاقت نہیں صدمے اٹھانے کی

بہت بھانے لگے جو اس سے ملنا چھوڑ دیتے ہیں

گزرتی ہیں جو فیل شب پہ سج دھج کر تری یادیں

ہم ان پر اپنے سگ ہائے تمنا چھوڑ دیتے ہیں

ہمارے منہ پہ اس نے آئنے سے دھوپ تک پھینکی

ابھی تک ہم سمجھ کر اس کو بچہ چھوڑ دیتے ہیں

تمہارا جیسے جی چاہے کوئی انجام لکھ لینا

چلو ہم آج یہ قصہ ادھورا چھوڑ دیتے ہیں

ہمیشہ جان دیتے ہیں ادھر معشوق دنیا پر

ادھر عاشق وہی دنیا ہمیشہ چھوڑ دیتے ہیں

محمد اعظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain

Mohammad Aazam

KHafa ho kar KHayalon mein bhi aana chhoD dete hain
kisi ko yar is darja bhi tanha chhoD dete hain

samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko
suhulat dekhte hain aur samajhna chhoD dete hain

ye hum bhi jaante hain mulk-giri shauq hai be-ja
magar hum jit kar fauran ilaqa chhoD dete hain

tere do ghunT pi kar tishnagi bhaDki to ye jaana
wahi achchhe hain jo bilkul piyasa chhoD dete hain

hamare dil mein ab taqat nahin sadme uThane ki
bahut bhane lage jo us se milna chhoD dete hain

guzarti hain jo fil-e-shab pe saj-dhaj kar teri yaaden
hum un par apne sag-ha-e-tamanna chhoD dete hain

hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki
abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain

tumhaara jaise ji chahe koi anjam likh lena
chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain

hamesha jaan dete hain udhar mashuq duniya par
idhar aashiq wahi duniya hamesha chhoD dete hain

(679) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain written by Mohammad Aazam at UrduPoint. KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Aazam. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Aazam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Aazam' above.

KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHafa Ho Kar KHayalon Mein Bhi Aana ChhoD Dete Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.