Wo Aankhen Kanwal Banin, Urdu Nazam By Mohammad Anvar Khalid

Wo Aankhen Kanwal Banin is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Anvar Khalid. Wo Aankhen Kanwal Banin comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Wo Aankhen Kanwal Banin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ آنکھیں کنول بنیں

محمد انور خالد

وہ آنکھیں کنول بنیں اور خشک ہوئیں

اور کنول بنیں اور خشک ہوئیں

کوئی دیکھنے آیا

آنکھیں آن کی آن میں کنول بنیں اور خشک ہوئیں

اور دلدل پھیلا سمٹ گیا

اور رات کی چادر پھیل گئی

کوئی دیکھنے آیا

آن کی آن میں دلدل پھیلا سمٹ گیا

اب ہاتھی دانت کے رسیا آئیں تو آئیں

تم گھر کی میلی چادر لے کر آئے تھے

اور جھاڑی میں چڑیوں کے انڈے ڈھونڈتے تھے

اور خوش تھے

اور انڈے ہاتھ ہی ہاتھ میں ٹوٹ گئے

تم روئے تھے

اور رونے والے گھر جا کر بھی روتے ہیں

وہ آنکھیں کنول بنیں اور خشک ہوئیں

اور کنول بنیں اور خشک ہوئیں

کل بارش کیسی تیز ہوئی

نت بادل پھیلے دیے جلے

میں چادر اوڑھ کے بیٹھ گیا

جو چادر اوڑھ کے بیٹھ گیا سو چادر اوڑھ کے بیٹھ گیا

پھر پتھر جیسا دن نکلا

وہ آنکھیں کنول بنیں اور خشک ہوئیں اور کنول بنیں اور خشک ہوئیں

تم جنگل جا کر دیکھو گے

جب پتے مٹی میں دب جاتے ہیں

مٹی کے ہو جاتے ہیں

اب پتوں کا کیا رونا

اور آنکھوں کا کیا رونا

اور دلدل کا کیا رونا

وہ ہاتھی دانت کے رسیا تو آئیں گے

میں کندھا دینے چلا کسی کو

اور کہیں کو چل نکلا

اب جوگی بنوں یا شعر کہوں

اب آنکھیں کنول بنیں یا بجھ جائیں

اب دلدل پھیلے یا سمٹے

اب دلدل کا کیا رونا

اب آنکھوں کا کیا رونا

اب رونے والوں پر رونے والوں کا کیا رونا

محمد انور خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Aankhen Kanwal Banin

Mohammad Anvar Khalid

wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
koi dekhne aaya
aankhen aan ki aan mein kanwal banin aur KHushk huin
aur daldal phaila simaT gaya
aur raat ki chadar phail gai
koi dekhne aaya
aan ki aan mein daldal phaila simaT gaya
ab hathi dant ke rasiya aaen to aaen
tum ghar ki maili chadar le kar aae the
aur jhaDi mein chiDiyon ke anDe DhunDte the
aur KHush the
aur anDe hath hi hath mein TuT gae
tum roe the
aur rone wale ghar ja kar bhi rote hain
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
kal barish kaisi tez hui
nit baadal phaile diye jale
main chadar oDh ke baiTh gaya
jo chadar oDh ke baiTh gaya so chadar oDh ke baiTh gaya
phir patthar jaisa din nikla
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin aur kanwal banin aur KHushk huin
tum jangal ja kar dekhoge
jab patte miTTi mein dab jate hain
miTTi ke ho jate hain
ab patton ka kya rona
aur aankhon ka kya rona
aur daldal ka kya rona
wo hathi dant ke rasiya to aaenge

main kandha dene chala kisi ko
aur kahin ko chal nikla
ab jogi banun ya sher kahun
ab aankhen kanwal banen ya bujh jaen
ab daldal phaile ya simTe
ab daldal ka kya rona
ab aankhon ka kya rona
ab rone walon par rone walon ka kya rona

(382) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Aankhen Kanwal Banin written by Mohammad Anvar Khalid at UrduPoint. Wo Aankhen Kanwal Banin is one of the masterpieces written by Mohammad Anvar Khalid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Anvar Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Anvar Khalid' above.

Wo Aankhen Kanwal Banin is a widely read Urdu Nazam. If you like Wo Aankhen Kanwal Banin, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.