Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm, Urdu Nazam By Mohammad Anvar Khalid

Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Anvar Khalid. Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دریائے‌ چارلس کے کنارے ایک نظم

محمد انور خالد

یہ گرجا ہے کہ مجھ پر آسماں کی مہربانی ہے

صلیبی جنگ میں سارے سپاہی کام آئے

اب کسے پانی پلاؤ گی تم اپنے دامن تر سے

اٹھاؤ‌ گی کسے پھیلے ہوئے بازو پہ نیلے ناخنوں پر روک لو گی

آنکھ چہرہ

جب زمیں پر راکھ ہوگی اور مٹی پھیل جائے گی

طنابیں راکھ ہو جائیں تو مٹی پھیل جاتی ہے

زمینوں آسمانوں پر

سو گرجا مجھ پہ نیلے آسماں کی مہربانی ہے

یہ دریا ہے کہ مجھ پر آسماں کی مہربانی ہے

زمیں جب راکھ ہو جائے تو دریا پھیل جاتا ہے

اور اس کو روک لیتی ہو تم اپنی خشک آنکھوں میں

بدن کی آڑ دے کر

جب سپاہی راستے میں بیٹھ جاتے ہیں

بچھا دیتے ہیں سایہ پتیوں پھولوں کناروں کا

تمہارے دامن تر کا

اتر جاتے ہیں گیلی جھاڑیوں میں آگ لے کر

آسماں دیکھا نہیں جاتا

تو بھیگی ریت کو سوکھی ہوا میں چھانتے ہیں

اور مٹی پھیل جاتی ہے

یہ مٹی مجھ کو کل تک آسمانوں میں اڑاتی تھی

یہ دریا مجھ کو کل تک کھینچ لاتا تھا زمینوں پر

یہ مٹی پھیلتی جاتی ہے

دریا سوکھتا جاتا ہے

مجھ پر آسماں کی مہربانی ہے

محمد انور خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm

Mohammad Anvar Khalid

ye girja hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
salibi-jang mein sare sipahi kaam aae
ab kise pani pilaogi tum apne daman-e-tar se
uThaogi kise phaile hue bazu pe nile naKHunon par rok logi
aankh chehra
jab zamin par rakh hogi aur miTTi phail jaegi
tanaben rakh ho jaen to miTTi phail jati hai
zaminon aasmanon par
so girja mujh pe nile aasman ki mehrbani hai
ye dariya hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
zamin jab rakh ho jae to dariya phail jata hai
aur us ko rok leti ho tum apni KHushk aankhon mein
badan ki aaD de kar
jab sipahi raste mein baiTh jate hain
bichha dete hain saya pattiyon phulon kinaron ka
tumhaare daman-e-tar ka
utar jate hain gili jhaDiyon mein aag le kar
aasman dekha nahin jata
to bhigi ret ko sukhi hawa mein chhante hain
aur miTTi phail jati hai
ye miTTi mujh ko kal tak aasmanon mein uDati thi
ye dariya mujh ko kal tak khinch lata tha zaminon par
ye miTTi phailti jati hai
dariya sukhta jata hai
mujh par aasman ki mehrbani hai

(470) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm written by Mohammad Anvar Khalid at UrduPoint. Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm is one of the masterpieces written by Mohammad Anvar Khalid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Anvar Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Anvar Khalid' above.

Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Dariya-e-charls Ke Kinare Ek Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.