Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj

Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj. Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پردۂ غیب میں تشہیر چھپی ہوتی ہے

محمد افتخارالحق سماج

پردۂ غیب میں تشہیر چھپی ہوتی ہے

خواب کی آنکھ میں تعبیر چھپی ہوتی ہے

اس کو لے آتا ہے قرطاس و قلم پر معنی

جب کسی لفظ میں تاثیر چھپی ہوتی ہے

مکتب دل سے ہنر سیکھ اسے پڑھنے کا

سادے کاغذ میں جو تحریر چھپی ہوتی ہے

وقت کرتا ہے نمایاں بڑی مشاقی سے

وصل میں ہجر کی تصویر چھپی ہوتی ہے

لوٹ کے گھر کی طرف یوں ہی نہیں آ جاتا

پائے آزاد میں زنجیر چھپی ہوتی ہے

زندگی ایک خرابی ہے تری گلیوں میں

ہر نئے موڑ پہ تقدیر چھپی ہوتی ہے

قصر میں دوڑتی پھرتی ہے کوئی بے چینی

اور کنویں میں کوئی تاخیر چھپی ہوتی ہے

اس لیے دیکھتا رہتا ہوں سراپا ہر دم

تیرے ہر متن میں تفسیر چھپی ہوتی ہے

حد کی سرحد سے نکل آؤں تو ہر رستے میں

پل صراطی کوئی تعزیر چھپی ہوتی ہے

محمد افتخارالحق سماج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai

Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj

parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai
KHwab ki aankh mein tabir chhupi hoti hai

us ko le aata hai qirtas-o-qalam par mani
jab kisi lafz mein tasir chhupi hoti hai

maktab-e-dil se hunar sikh use paDhne ka
sade kaghaz mein jo tahrir chhupi hoti hai

waqt karta hai numayan baDi mashshaqi se
wasl mein hijr ki taswir chhupi hoti hai

lauT ke ghar ki taraf yunhi nahin aa jata
pa-e-azad mein zanjir chhupi hoti hai

zindagi ek KHarabi hai teri galiyon mein
har nae moD pe taqdir chhupi hoti hai

qasr mein dauDti phirti hai koi bechaini
aur kuen mein koi taKHir chhupi hoti hai

is liye dekhta rahta hun sarapa har dam
tere har matn mein tafsir chhupi hoti hai

had ki sarhad se nikal aaun to har raste mein
pul-siraati koi tazir chhupi hoti hai

(512) ووٹ وصول ہوئے

You can read Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai written by Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj at UrduPoint. Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Iftikhar Ul Haq Samaj' above.

Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Parda-e-ghaib Mein Tashhir Chhupi Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.