AkaD Shah Aur Baqraid, Urdu Nazam By Mohammad Osama Sarsari

AkaD Shah Aur Baqraid is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Osama Sarsari. AkaD Shah Aur Baqraid comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read AkaD Shah Aur Baqraid on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اکڑ شاہ اور بقرعید

محمد اسامہ سرسری

نظر آیا چاند اور ملی یہ نوید

کہ دس دن کے بعد آئے گی بقرعید

اکڑ شاہ دل میں لگا سوچنے

اسی سوچ میں کھا گیا سو چنے

کہ اس بار قربانی میں بھی کروں

خدا سے محبت کا دم میں بھروں

ارادہ یہ ظاہر کیا دوست پر

کہ منڈی سے لاتے ہیں اک جانور

چنانچہ اکڑ شاہ منڈی گیا

بہت موٹا تازہ سا بکرا لیا

گھمایا اسے خوب اکڑ شاہ نے

رکھا اس کو محبوب اکڑ شاہ نے

اکڑ شاہ لگواتا چکر اسے

تو بکرا لگاتا تھا ٹکر اسے

بالآخر پھر آ ہی گیا یوم عید

وہ دن جو ہمارے لیے ہے سعید

کہا دوست نے اس سے بعد از نماز

قصائی کہاں ہے بتا دو یہ راز

اکڑ کر وہ بولا یہ مشکل نہیں

اسے ذبح میں خود کروں گا یہیں

یہ کہہ کر وہ مذبح کی جانب بڑھا

جہاں ہٹا کٹا تھا بکرا کھڑا

اکڑ شاہ نے گردن سے جکڑا اسے

لگا کر بہت زور پکڑا اسے

گرانے کی کوشش وہ کرنے لگا

وہیں رک گیا جو گزرنے لگا

اکڑ شاہ اب تھا پکڑ شاہ پر

چڑھ آیا وہ بکرا اکڑ شاہ پر

کہا ایک نے پھر یہ بھائی ہے کون

یہ بکرے سے لاغر قصائی ہے کون

مجھے بات کہنی تھی یہ آپ سے

ہو جو کام جس کا وہ ساجھے اسے

قصائی کو پھر اس نے بلوا لیا

جھکا کر نظر گھر کا رستہ لیا

اسامہؔ سے قصے اکڑ شاہ کے

نہ جاؤ گے سن کر بنا واہ کے

محمد اسامہ سرسری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AkaD Shah Aur Baqraid

Mohammad Osama Sarsari

nazar aaya chand aur mili ye nawid
ki das din ke baad aaegi baqarid

akaD shah dil mein laga sochne
isi soch mein kha gaya sau chane

ki is bar qurbani main bhi karun
KHuda se mohabbat ka dam main bharun

irada ye zahir kiya dost par
ki manDi se late hain ek jaanwar

chunanche akaD shah manDi gaya
bahut moTa taza sa bakra liya

ghumaya use KHub akaD shah ne
rakha us ko mahbub akaD shah ne

akaD shah lagwata chakkar use
to bakra lagata tha Takkar use

bil-aKHir phir aa hi gaya yaum-e-eid
wo din jo hamare liye hai said

kaha dost ne us se baad-az-namaz
qasai kahan hai bata do ye raaz

akaD kar wo bola ye mushkil nahin
ise zabh main KHud karunga yahin

ye kah kar wo mazbah ki jaanib baDha
jahan haTTa-kaTTa tha bakra khaDa

akaD shah ne gardan se jakDa use
laga kar bahut zor pakDa use

girane ki koshish wo karne laga
wahin ruk gaya jo guzarne laga

akaD shah ab tha pakaD shah par
chaDh aaya wo bakra akaD shah par

kaha ek ne phir ye bhai hai kaun
ye bakre se laghar qasai hai kaun

mujhe baat kahni thi ye aap se
ho jo kaam jis ka wo sajhe use

qasai ko phir us ne bulwa liya
jhuka kar nazar ghar ka rasta liya

usama se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke

(508) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AkaD Shah Aur Baqraid written by Mohammad Osama Sarsari at UrduPoint. AkaD Shah Aur Baqraid is one of the masterpieces written by Mohammad Osama Sarsari. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Osama Sarsari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Osama Sarsari' above.

AkaD Shah Aur Baqraid is a widely read Urdu Nazam. If you like AkaD Shah Aur Baqraid, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.