AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan, Urdu Nazam By Mohammad Osama Sarsari

AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Osama Sarsari. AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اکڑ شاہ اور ماہ رمضان

محمد اسامہ سرسری

اکڑ شاہ بے حد پریشان تھا

کہ اب جا رہا ماہ شعبان تھا

بالآخر ہوا ختم شعبان بھی

اور آیا مہینوں کا سلطان بھی

لگا کرنے فوراً وہ تیاریاں

وہ لے آیا کھجلا بھی اور پھینیاں

اکڑ شاہ نے جم جم کے کیں سحریاں

تلافی کو پھر کر لیں افطاریاں

یہ روزے لگے اس کو بھاری بڑے

مشاغل سبھی ترک کرنے پڑے

کہا سب سے مجھ کو بڑے کام ہیں

عبادت ریاضت کے ایام ہیں

بالآخر رکھے اس نے روزے سبھی

دکھا چاند پھر آ گئی عید بھی

تو آم اور چشموں سے واقف تھے جو

دیا فطرہ سب نے اکڑ شاہ کو

کھلی اس کے دل میں خوشی کی کلی

وہ سمجھا اسے اس کی عیدی ملی

نماز اس نے پھر عید کی کی ادا

سنی بھانجوں کی پھر اس نے صدا

اکڑ ماموں عیدی ہماری کہاں

اکڑ شاہ کو تھا نہ اس کا گماں

کسی کو نہیں دی تھی عیدی کبھی

مگر بچے چڑھ دوڑے اب کے سبھی

ملے اس کو فطرے میں جو چار سو

ہر اک کو دیے چار و نا چار سو

اسامہؔ سے قصے اکڑ شاہ کے

نہ جاؤ گے سن کر بنا واہ کے

محمد اسامہ سرسری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan

Mohammad Osama Sarsari

akaD shah behad pareshan tha
ki ab ja raha mah-e-shaban tha

bil-aKHir hua KHatm shaban bhi
aur aaya mahinon ka sultan bhi

laga karne fauran wo tayyariyan
wo le aaya khajla bhi aur pheniyan

akaD shah ne jam jam ke kin sehriyan
talafi ko phir kar lin iftariyan

ye roze lage us ko bhaari baDe
mashaghil sabhi tark karne paDe

kaha sab se mujh ko baDe kaam hain
ibaadat riyazat ke ayyam hain

bil-aKHir rakhe us ne roze sabhi
dikha chand phir aa gai id bhi

to aam aur chashmon se waqif the jo
diya fitra sab ne akaD shah ko

khili us ke dil mein KHushi ki kali
wo samjha use us ki eidi mili

namaz us ne phir id ki ki ada
suni bhanjon ki phir us ne sada

akaD mamun eidi hamari kahan
akaD shah ko tha na is ka guman

kisi ko nahin di thi eidi kabhi
magar bachche chaDh dauDe ab ke sabhi

mile us ko fitre mein jo chaar sau
har ek ko diye chaar-o-na-chaar sau

'usama' se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke

(310) ووٹ وصول ہوئے

You can read AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan written by Mohammad Osama Sarsari at UrduPoint. AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan is one of the masterpieces written by Mohammad Osama Sarsari. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Osama Sarsari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Osama Sarsari' above.

AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan is a widely read Urdu Nazam. If you like AkaD Shah Aur Mah-e-ramzan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.