Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena, Urdu Ghazal By Mohammad Rafi

Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Rafi. Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس کم سخن کی اب کے گفتار دیکھ لینا

محمد رفیع

اس کم سخن کی اب کے گفتار دیکھ لینا

ہر بات پر چلے گی تلوار دیکھ لینا

تقلید کر رہے ہو تم جس کے قافلے کی

اس میر کارواں کا کردار دیکھ لینا

اپنی طبیعتوں کے مالک ہیں یہ فرشتے

انکار دیکھ لینا اقرار دیکھ لینا

مطلق نظر نہ رکھنا ماضی کی لغزشوں پر

کھینچے گا کون اب کے دیوار دیکھ لینا

نازک مزاج ہیں وہ سنتے نہیں کسی کی

رکھتے ہیں کیا ارادے سرکار دیکھ لینا

تو کیا ہے اے رفیعؔ اب دنیا کے آئنے میں

تیرا مقام کیا ہے اخبار دیکھ لینا

محمد رفیع

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena

Mohammad Rafi

us kam-suKHan ki ab ke guftar dekh lena
har baat par chalegi talwar dekh lena

taqlid kar rahe ho tum jis ke qafile ki
us mir-e-karwan ka kirdar dekh lena

apni tabiaton ke malik hain ye farishte
inkar dekh lena iqrar dekh lena

mutlaq nazar na rakhna mazi ki laghzishon par
khinchega kaun ab ke diwar dekh lena

nazuk mizaj hain wo sunte nahin kisi ki
rakhte hain kya irade sarkar dekh lena

tu kya hai ai 'rafia' ab duniya ke aaine mein
tera maqam kya hai aKHbar dekh lena

(503) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena written by Mohammad Rafi at UrduPoint. Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena is one of the masterpieces written by Mohammad Rafi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Rafi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Rafi' above.

Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena is a widely read Urdu Ghazal. If you like Us Kam-suKHan Ki Ab Ke Guftar Dekh Lena, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.