Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai, Urdu Nazam By Mubarak Haider

Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mubarak Haider. Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظم

مبارک حیدر

خداوندا یہ کیسا جبر ہے

میں نے تری رسی کو پکڑا ہی نہیں لیکن

مجھے رسی نے جکڑا ہے

مجھے کہتے ہیں تم آزاد ہو، اپنے لیے چن لو

مگر بحر فنا کو جانے والے مجھ کو رکنے ہی نہیں دیتے

میں رکنا چاہتا ہوں

اس حسیں کے آن ملنے تک کہ جو رستے میں پیچھے رہ گئی تھی

بیابان نمو کی بے کراں تاریکیوں میں

ان گنت روحوں کی دھکم پیل تھی

تب بھی وہی جھوٹی کہانی تھی

کہ تم آزاد ہو لیکن

اندھیرا بھیڑ اور وحشت میں لمبی غار کے پرلے سرے پر

ٹمٹماتی روشنی تک سب کو آنا تھا

وہ پیچھے رہ گئی، میں جبر کی رسی میں جکڑا غار سے باہر نکل آیا

میں رکنا چاہتا ہوں اس حسیں کے آن ملنے تک

کہ جو رستے میں پیچھے ہے

میں اس کا منتظر ہوں کتنے برسوں سے

خداوند فنا!

میں تیری رسی کے کئی بل کھول کر

عمر رواں کے زہر سے بچتا رہا ہوں

پھر بھی میرا جسم جو ہستی کے جوہر کا لبادہ ہے

پرانا ہو گیا ہے

میں رکنا چاہتا ہوں اس حسیں کے آن ملنے تک

کہ جب اس کا لبادہ بھی پرانا ہو

تو ہم مل کر ترے بحر فنا کے اس کنارے پر

پرانے پیرہن دھو لیں

پھر اس کے بعد بھی تیری یہی ضد ہو تو لے جانا!!

مبارک حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai

Mubarak Haider

KHudawanda ye kaisa jabr hai
main ne teri rassi ko pakDa hi nahin lekin
mujhe rassi ne jakDa hai
mujhe kahte hain tum aazad ho, apne liye chun lo
magar bahr-e-fana ko jaane wale mujh ko rukne hi nahin dete
main rukna chahta hun
us hasin ke aan milne tak ki jo raste mein pichhe rah gai thi
bayaban-e-numu ki be-karan tarikiyon mein
an-ginat ruhon ki dhakkam-pel thi
tab bhi wahi jhuTi kahani thi
ki tum aazad ho lekin
andhera bhiD aur wahshat mein lambi ghaar ke parle sire par
TimTimati raushni tak sab ko aana tha
wo pichhe rah gai, main jabr ki rassi mein jakDa ghaar se bahar nikal aaya
main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jo raste mein pichhe hai
main us ka muntazir hun kitne barson se
KHudawand-e-fana!
main teri rassi ke kai bal khol kar
umr-e-rawan ke zahr se bachta raha hun
phir bhi mera jism jo hasti ke jauhar ka libaada hai
purana ho gaya hai
main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jab us ka labaada bhi purana ho
to hum mil kar tere bahr-e-fana ke is kinare par
purane pairahan dho len
phir is ke baad bhi teri yahi zid ho to le jaana!!

(416) ووٹ وصول ہوئے

You can read Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai written by Mubarak Haider at UrduPoint. Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai is one of the masterpieces written by Mubarak Haider. You can also find the complete poetry collection of Mubarak Haider by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mubarak Haider' above.

Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Khudawanda Ye Kaisa Jabr Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.