Mohabbat Ke Tasawwur Mein, Urdu Nazam By Mudita Rastogi

Mohabbat Ke Tasawwur Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mudita Rastogi. Mohabbat Ke Tasawwur Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mohabbat Ke Tasawwur Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کے تصور میں

مدتا رستوگی

یہ سچ ہے میں نے چاہا تھا

کہ میری زندگی میں عشق بن کر جب بھی تو آئے

تو یوں آئے

کے جیسے موت آتی ہے

تھکی ہاری سی سانسوں کو سکوں کی تھپکیاں دینے

بدن کو روح کو یوں بھینچ کر آغوش میں لینے

کہ پھر سب اس کا ہو جائے

نہ کچھ بھی چھوٹنے پائے

کے اس آغوش سے اپنی

نہ پھر کوئی رہائی ہو

کسی کی جان لینا بھی مگر اک آرٹ ہے یوں

تو سینے سے تو ٹکرایا

مگر آگے نہ بڑھ پایا

ترے آغوش میں جاناں بڑی ہی بے قراری تھی

گھٹن سینے میں سانسیں زرد اک دہشت سی طاری تھی

گو میں نے بارہا خود کو یہ سمجھایا

کے یہ ایک فیض ہی ہے بس

گزر جائے گا ہولے سے

پھر اک وہ لمحہ آئے گا

کہ جب یہ زندگی میری سکوں میں ڈوب جائے گی

مگر یہ ہو نہیں پایا

وہ اک لمحہ نہیں آیا

تو اب عالم کچھ ایسا ہے

یہ سانسیں اکھڑی اکھڑی ہیں

پڑا ہے ذہن بھی خاموش

آنکھیں سوکھی سوکھی ہیں

مگر سب سے زیادہ جو مجھے افسوس ہے وہ یہ

کہ جاں میں اب بھی زندہ ہوں

اور اب یہ زندگی پہلے سے بڑھ کر بے معانی ہے

تو میری زندگی میں خودکشی کا پل تھا جان جاں

جو پورا ہو نہیں پایا

جو پورا ہو نہیں پایا

مدتا رستوگی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ke Tasawwur Mein

Mudita Rastogi

ye sach hai main ne chaha tha
ki meri zindagi mein ishq ban kar jab bhi tu aae
to yun aae
ke jaise maut aati hai
thaki haari si sanson ko sukun ki thapkiyan dene
badan ko ruh ko yun bhinch kar aaghosh mein lene
ki phir sab us ka ho jae
na kuchh bhi chhuTne pae
ke us aaghosh se apni
na phir koi rihai ho
kisi ki jaan lena bhi magar ek art hai yun
to sine se tu Takraya
magar aage na baDh paya
tere aaghosh mein jaanan baDi hi be-qarari thi
ghuTan sine mein sansen zard ek dahshat si tari thi
go main ne barha KHud ko ye samjhaya
ke ye ek faiz hi hai bas
guzar jaega haule se
phir ek wo lamha aaega
ki jab ye zindagi meri sukun mein Dub jaegi
magar ye ho nahin paya
wo ek lamha nahin aaya
to ab aalam kuchh aisa hai
ye sansen ukhDi ukhDi hain
paDa hai zehn bhi KHamosh
aankhen sukhi sukhi hain
magar sab se ziyaada jo mujhe afsos hai wo ye
ki jaan main ab bhi zinda hun
aur ab ye zindagi pahle se baDh kar be-maani hai
tu meri zindagi mein KHud-kushi ka pal tha jaan-e-jaan
jo pura ho nahin paya
jo pura ho nahin paya

(594) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ke Tasawwur Mein written by Mudita Rastogi at UrduPoint. Mohabbat Ke Tasawwur Mein is one of the masterpieces written by Mudita Rastogi. You can also find the complete poetry collection of Mudita Rastogi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mudita Rastogi' above.

Mohabbat Ke Tasawwur Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Mohabbat Ke Tasawwur Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.