Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab, Urdu Ghazal By Mughni Tabassum

Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mughni Tabassum. Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گرنا نہیں ہے اور سنبھلنا نہیں ہے اب

مغنی تبسم

گرنا نہیں ہے اور سنبھلنا نہیں ہے اب

بیٹھے ہیں رہ گزار پہ چلنا نہیں ہے اب

پچھلا پہر ہے شب کا سویرے کی خیر ہو

بجھتے ہوئے چراغ ہیں جلنا نہیں ہے اب

ہے آستیں سے کام نہ دامن سے کچھ غرض

پتھر بنے ہوئے ہیں پگھلنا نہیں ہے اب

منظر ٹھہر گیا ہے کوئی دل میں آن کر

دنیا کے ساتھ اس کو بدلنا نہیں ہے اب

لب آشنائے حرف تبسم نہیں رہے

دل کے لہو کو اشک میں ڈھلنا نہیں ہے اب

مغنی تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab

Mughni Tabassum

girna nahin hai aur sambhalna nahin hai ab
baiThe hain rahguzar pe chalna nahin hai ab

pichhla pahar hai shab ka sawere ki KHair ho
bujhte hue charagh hain jalna nahin hai ab

hai aastin se kaam na daman se kuchh gharaz
patthar bane hue hain pighalna nahin hai ab

manzar Thahar gaya hai koi dil mein aan kar
duniya ke sath us ko badalna nahin hai ab

lab-ashna-e-harf-e-tabassum nahin rahe
dil ke lahu ko ashk mein Dhalna nahin hai ab

(651) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab written by Mughni Tabassum at UrduPoint. Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab is one of the masterpieces written by Mughni Tabassum. You can also find the complete poetry collection of Mughni Tabassum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mughni Tabassum' above.

Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab is a widely read Urdu Ghazal. If you like Girna Nahin Hai Aur Sambhalna Nahin Hai Ab, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.