Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain, Urdu Ghazal By Munawwar Hashmi

Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawwar Hashmi. Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہاں بچپن گزارا تھا وہ گھر پہچانتے ہیں

منور ہاشمی

جہاں بچپن گزارا تھا وہ گھر پہچانتے ہیں

ابھی ہم شہر کی ہر رہ گزر پہچانتے ہیں

پرندے جس طرف جائیں پلٹ آتے ہیں شب کو

وہ اپنا آشیاں اپنا شجر پہچانتے ہیں

ابھی گلیاں نہیں بھولیں مرے قدموں کی آہٹ

مجھے اس شہر کے در و دیوار پہچانتے ہیں

کبھی میرے حوالے سے رہی پہچان جن کی

مجھے وہ پاس آ کر سوچ کر پہچانتے ہیں

نہیں پہچانتے کچھ لوگ دنیا میں تو کیا ہے

مرے فن کو سبھی اہل نظر پہچانتے ہیں

جو آنکھیں روزنوں سے جھانکتی تھیں اب نہیں ہیں

گھروں کے بند دروازے مگر پہچانتے ہیں

منورؔ ہم نے یوں اس شہر کی چیزوں کو دیکھا

مسافر جیسے سامان سفر پہچانتے ہیں

منور ہاشمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain

Munawwar Hashmi

jahan bachpan guzara tha wo ghar pahchante hain
abhi hum shahr ki har rahguzar pahchante hain

parinde jis taraf jaen palaT aate hain shab ko
wo apna aashiyan apna shajar pahchante hain

abhi galiyan nahin bhulen mere qadmon ki aahaT
mujhe is shahr ke dar-o-diwar pahchante hain

kabhi mere hawale se rahi pahchan jin ki
mujhe wo pas aa kar soch kar pahchante hain

nahin pahchante kuchh log duniya mein to kya hai
mere fan ko sabhi ahl-e-nazar pahchante hain

jo aankhen rauzanon se jhankti thin ab nahin hain
gharon ke band darwaze magar pahchante hain

'munawar' hum ne yun is shahr ki chizon ko dekha
musafir jaise saman-e-safar pahchante hain

(553) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain written by Munawwar Hashmi at UrduPoint. Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain is one of the masterpieces written by Munawwar Hashmi. You can also find the complete poetry collection of Munawwar Hashmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawwar Hashmi' above.

Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan Bachpan Guzara Tha Wo Ghar Pahchante Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.