Ek Manzar Aasman Jaisa, Urdu Nazam By Muneer Ahmad Firdaus

Ek Manzar Aasman Jaisa is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneer Ahmad Firdaus. Ek Manzar Aasman Jaisa comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ek Manzar Aasman Jaisa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک منظر آسماں جیسا

منیر احمد فردوس

میں وقت کے خیمے سے نکلا۔۔۔

تو الجھنوں کی چلچلاتی دھوپ میں

زیست مجھ سے لپٹ پڑی

اور سلجھنوں کا سفر میرے تلووں پر لکھ دیا

انکار سے نا آشنا

میں نے پاؤں پر سفر باندھ لیا

اب آسمان جیسا ایک حسیں منظر بنا کر

مجھے سفید پرندوں کے حوالے کرنا ہے

دل کی زمین سے نفرت کی جڑیں کاٹ کر

وفا پرور جذبے کاشت کر کے

دھڑکنوں کو اک نئی ترتیب میں ڈھالنا ہے

بے رحم ساعتوں کو

مہربان لمحوں کی داستان سنانی ہے

اندھیروں کو روشنی کے غلاف میں بند کرنا ہے

ان گنت تاریک آنکھوں میں

دھنک رنگوں سے زندگی کی تصویر بنانی ہے

تاثیر کو اپنے لہجے میں پناہ دے کر

آسمان تک دعاؤں کا راستہ کھوجنا ہے

حرف آشنائی سے اپنا مقدر آسمانوں پر لکھ کر

بند مٹھی میں چنگھاڑتے سکوت اور اندر بھری چیخ کو

گم نامی کے جزیروں میں دفن کرنا ہے

آسماں جیسے اس حسین منظر کو تخلیق کر کے

زمین کو آسمان بنانا ہے

منیر احمد فردوس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Manzar Aasman Jaisa

Muneer Ahmad Firdaus

main waqt ke KHeme se nikla
to uljhanon ki chilchilati dhup mein
zist mujh se lipaT paDi
aur suljhanon ka safar mere talwon par likh diya
inkar se na-ashna
main ne panw par safar bandh liya
ab aasman jaisa ek hasin manzar bana kar
mujhe safed parindon ke hawale karna hai
dil ki zamin se nafrat ki jaDen kaT kar
wafa-parwar jazbe kasht kar ke
dhaDkanon ko ek nai tartib mein Dhaalna hai
be-rahm saaton ko
mehrban lamhon ki dastan sunani hai
andheron ko raushni ke ghilaf mein band karna hai
an-ginat tarik aaankhon mein
dhanak rangon se zindagi ki taswir banani hai
tasir ko apne lahje mein panah de kar
aasman tak duaon ka rasta khojna hai
harf-ashnai se apna muqaddar aasmanon par likh kar
band muTThi mein chinghaDte sukut aur andar bhari chiKH ko
gum-nami ke jaziron mein dafn karna hai
aasman jaise is hasin manzar ko taKHliq kar ke
zamin ko aasman banana hai

(555) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ek Manzar Aasman Jaisa written by Muneer Ahmad Firdaus at UrduPoint. Ek Manzar Aasman Jaisa is one of the masterpieces written by Muneer Ahmad Firdaus. You can also find the complete poetry collection of Muneer Ahmad Firdaus by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Ahmad Firdaus' above.

Ek Manzar Aasman Jaisa is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Manzar Aasman Jaisa, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.