Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہی ہیں برق کی جولانیاں تو آشیاں کب تک

منیر بھوپالی

یہی ہیں برق کی جولانیاں تو آشیاں کب تک

اٹھے گا خاک پروانہ سے محفل میں دھواں کب تک

غم صیاد خوف برق فکر آشیاں کب تک

اٹھائے گی یہ صدمے ایک جان ناتواں کب تک

یہی ہے درد روز افزوں یہی بیتابیٔ پیہم

تو یہ راز محبت راز کب تک رازداں کب تک

تری نظروں کو بھی جھکنا پڑے گا خود بخود اک دن

مرے دکھتے ہوئے دل کی دعائیں رائیگاں کب تک

ضیائے حسن ہر ذرہ کو اک دن جگمگا دے گی

ترے جلوؤں کو روکیں گے حدود لا مکاں کب تک

خبر بھی ہے تجھے بیتابیٔ دل بڑھتی جاتی ہے

خدا جانے رہے گی میرے قابو میں زباں کب تک

ذرا اپنے تغافل کی نہایت بھی بتا دیجے

رہے گا مورد الزام مجبور فغاں کب تک

یہ محرومی نہ جانے کس کے قدموں پر گرا دے گی

نگاہ شوق ڈھونڈے گی کسی کا آستاں کب تک

وہ جلوے پھر وہ جلوے ہیں وہ نظریں پھر وہ نظریں ہیں

دل ناداں یقین ہستیٔ تاب و تواں کب تک

بساط دل ہے کیا نقشہ بدل جائے گا دنیا کا

یہ آنکھیں ہیں یہ نظریں ہیں تو تنظیم جہاں کب تک

محبت خود بخود اک دن ہر اک پردہ اٹھا دے گی

منیرؔ اس دل سے وہ بد ظن دل ان سے بد گماں کب تک

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak

Muneer Bhopali

yahi hain barq ki jaulaniyan to aashiyan kab tak
uThega KHak-e-parwana se mahfil mein dhuan kab tak

gham-e-sayyaad KHauf-e-barq fikr-e-ashiyan kab tak
uThaegi ye sadme ek jaan-e-na-tawan kab tak

yahi hai dard-e-roz-afzun yahi betabi-e-paiham
to ye raaz-e-mohabbat raaz kab tak raaz-dan kab tak

teri nazron ko bhi jhukna paDega KHud-baKHud ek din
mere dukhte hue dil ki duaen raegan kab tak

ziya-e-husn har zarre ko ek din jagmaga degi
tere jalwon ko rokenge hudud-e-la-makan kab tak

KHabar bhi hai tujhe betabi-e-dil baDhti jati hai
KHuda jaane rahegi mere qabu mein zaban kab tak

zara apne taghaful ki nihayat bhi bata dije
rahega murid-e-ilzam majbur-e-fughan kab tak

ye mahrumi na jaane kis ke qadmon par gira degi
nigah-e-shauq DhunDegi kisi ka aastan kab tak

wo jalwe phir wo jalwe hain wo nazren phir wo nazren hain
dil-e-nadan yaqin-e-hasti-e-tab-o-tawan kab tak

bisat-e-dil hai kya naqsha badal jaega duniya ka
ye aankhen hain ye nazren hain to tanzim-e-jahan kab tak

mohabbat KHud-baKHud ek din har ek parda uTha degi
'munir' is dil se wo bad-zan dil un se bad-guman kab tak

(409) ووٹ وصول ہوئے

You can read Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahi Hain Barq Ki Jaulaniyan To Aashiyan Kab Tak, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.