BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بخت کو رویا کئے اور آشیاں دیکھا کئے

منیر بھوپالی

بخت کو رویا کئے اور آشیاں دیکھا کئے

بجلیاں گرتی رہیں ہم بے زباں دیکھا کئے

التفات یار شکل دشمناں دیکھا کئے

رات بھر محفل میں سوئے آسماں دیکھا کئے

کر دیا صیاد نے قید قفس تو کیا ہوا

ہم اسیری میں بھی خواب گلستاں دیکھا کئے

پتے پتے سے خزاں نے کھینچ لی جان بہار

گلستاں لٹتا رہا اور باغباں دیکھا کئے

غیر اس کی بزم میں آتے رہے جاتے رہے

ہم بڑی حسرت سے روئے پاسباں دیکھا کئے

رفتہ رفتہ جان بھی نذر الم کرنی پڑی

ہر مسرت جب نصیب دشمناں دیکھا کئے

مٹنے والوں کے لئے اسباب کی حاجت نہیں

کیا کہیں ہم کیوں کسی کا آستاں دیکھا کئے

بخت نے کب ایک حالت پر ہمیں رہنے دیا

عمر بھر ہم انقلابات جہاں دیکھا کئے

ان کی آنکھوں ان کے دل کو آفریں صد آفریں

دوست بن کر جو مری بربادیاں دیکھا کئے

وجہ کچھ ہو ہم نے جب سے آنکھ کھولی ہے منیرؔ

روز و شب بربادیٔ ہندوستاں دیکھا کئے

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye

Muneer Bhopali

baKHt ko roya kiye aur aashiyan dekha kiye
bijliyan girti rahin hum be-zaban dekha kiye

iltifat-e-yar shakl-e-dushmanan dekha kiye
raat bhar mahfil mein su-e-asman dekha kiye

kar diya sayyaad ne qaid-e-qafas to kya hua
hum asiri mein bhi KHwab-e-gulsitan dekha kiye

patte patte se KHizan ne khinch li jaan-e-bahaar
gulsitan luTta raha aur baghban dekha kiye

ghair us ki bazm mein aate rahe jate rahe
hum baDi hasrat se ru-e-pasban dekha kiye

rafta-rafta jaan bhi nazr-e-alam karni paDi
har masarrat jab nasib-e-dushmanan dekha kiye

miTne walon ke liye asbab ki hajat nahin
kya kahen hum kyon kisi ka aastan dekha kiye

baKHt ne kab ek haalat par hamein rahne diya
umr bhar hum inqilabaat-e-jahan dekha kiye

un ki aankhon un ke dil ko aafrin sad-afrin
dost ban kar jo meri barbaadiyan dekha kiye

wajh kuchh ho hum ne jab se aankh kholi hai 'munir'
roz-o-shab barbaadi-e-hindostan dekha kiye

(438) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye written by Muneer Bhopali at UrduPoint. BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.