Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai, Urdu Ghazal By Muneer Jafri

Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Jafri. Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کا ہونا میرا ہونا بنتا ہے

منیر جعفری

جس کا ہونا میرا ہونا بنتا ہے

وہ دنیا کے آگے بونا بنتا ہے

ہم تو فرض نبھاتے ہیں مجبوری کا

ہنسنے کی بنیاد کھلونا بنتا ہے

جس میں اپنے پاؤں بھگو لے وہ اک بار

اس دریا کا پانی سونا بنتا ہے

خاموشی اظہار میں ڈھل کر بات بنی

ہونے کی بنیاد نہ ہونا بنتا ہے

عمروں کی مزدوری لگتی ہے اس پر

لمحوں میں تو وقت کا کونا بنتا ہے

میں دشمن کی موت پہ کیسے رقص کروں

میرا تو اس دکھ میں رونا بنتا ہے

پہلے اس کو باغ سلامی دیتا ہے

بعد میں ہر اک پھول بچھونا بنتا ہے

اس پرچم میں بدبو ہے غداری کی

اس پرچم کو خون سے دھونا بنتا ہے

اوروں کا تو بار گراں ہے مان لیا

اپنا اپنا بوجھ تو ڈھونا بنتا ہے

اس کا جسم نومبر کا خورشید منیرؔ

اس پیکر کی دھوپ میں سونا بنتا ہے

منیر جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai

Muneer Jafri

jis ka hona mera hona banta hai
wo duniya ke aage bauna banta hai

hum to farz nibhate hain majburi ka
hansne ki buniyaad khilauna banta hai

jis mein apne panw bhigo le wo ek bar
us dariya ka pani sona banta hai

KHamoshi izhaar mein Dhal kar baat bani
hone ki buniyaad na hona banta hai

umron ki mazduri lagti hai is par
lamhon mein to waqt ka kona banta hai

main dushman ki maut pe kaise raqs karun
mera to is dukh mein rona banta hai

pahle us ko bagh salami deta hai
baad mein har ek phul bichhauna banta hai

is parcham mein badbu hai ghaddari ki
is parcham ko KHun se dhona banta hai

auron ka to bar-e-garan hai man liya
apna apna bojh to Dhona banta hai

us ka jism nowember ka KHurshid 'munir'
us paikar ki dhup mein sona banta hai

(510) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai written by Muneer Jafri at UrduPoint. Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai is one of the masterpieces written by Muneer Jafri. You can also find the complete poetry collection of Muneer Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Jafri' above.

Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ka Hona Mera Hona Banta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.