Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حلقہ حلقہ گھر بنا لخت دل بیتاب کا

منیرؔ شکوہ آبادی

حلقہ حلقہ گھر بنا لخت دل بیتاب کا

زلف جاناں میں ہے عالم سبحۂ سیماب کا

سونے میں نظارہ کر لوں روے‌ عالمتاب کا

خوف کیا دز‌د نگہ کو ہے شب مہتاب کا

کھیل بھی بیتاب تھا طفلی میں اس بیتاب کا

پر اڑاتا تھا ہوا پر ماہیٔ بے آب کا

رک نہیں سکتا ہے دریا دیدۂ پر آب کا

پاٹ ہے رومال میرا دامن سیلاب کا

خواب میں یاران رفتہ سے ملاقاتیں ہوئیں

ہم نے سمجھا خضر غفلت کو رہ احباب کا

کہتے ہیں سب دیکھ کر بیتاب میرا عضو عضو

آدمی اب تک نہیں دیکھا کہیں سیماب کا

نیند کی صورت نہیں دیکھا بہ جز داغ جگر

پردہ میری آنکھ میں شاید کہ ہے کمخواب کا

لگ گئی آگ آتش رخ سے نقاب یار میں

دیکھ لو جلتا ہے کونا چادر مہتاب کا

مجلس بے شمع وہ ہیں شمع بے مجلس ہوں میں

غم مرا احباب کو ہے مجھ کو غم احباب کا

ہجر جاناں کے الم میں ہم فرشتے بن گئے

دھیان مدت سے چھٹا آب طعام و خواب کا

اہل تسلیم و رضا سے سر بلندوں کی ہے زیب

خوش نما زیر منار و قرب ہے محراب کا

جھک کے ہم نے بوسۂ ابرو کی جب مانگی دعا

حلقۂ آغوش پر عالم ہوا محراب کا

اس قدر فریاد محشر خیز اے بلبل نہ کر

دیکھنا تختہ نہ الٹے گلشن شاداب کا

مہر دست آویز غم ہے ہر بشر کا داغ غم

دل ہے محضر صحبت گم کردۂ احباب کا

بے تکلف آ گیا وہ مہ دم فکر سخن

رہ گیا پاس ادب سے قافیہ آداب کا

پرورش تقدیر کرتی ہے مجھے بہر قضا

ذبح کو پروردہ کرنا کام ہے قصاب کا

نشہ جرات زیادہ ہو گیا اے مے کشو

ساغر مے بن گیا کاسہ سر سہراب کا

موئے آتش دید ساں بل کھائے وہ موئے کمر

میں جو لکھوں گرم مضموں اس طلائی ڈاب کا

ہو گیا ہوں میں نقاب روئے روشن پر فقیر

چاہیے تہ بند مجھ کو چادر مہتاب کا

خال و خط سے عیب اس کے روئے اقدس کو نہیں

حسن ہے مصحف میں ہونا نقطۂ اعراب کا

دوست دشمن سے زیادہ تیز رکھتے ہیں چھری

برہمن بھی پیشہ اب کرنے لگے قصاب کا

ہونٹ پر انگشت رنگیں رکھ کے وہ کہنے لگے

شاخ مرجاں نے ثمر پیدا کیا عناب کا

لاغری کے ساتھ بیتابی یہی اے بحر حسن

خار ہے یہ جسم لاغر ماہیٔ بے آب کا

تیری فرقت میں جو آئے بھول کر آنکھوں میں نیند

مردمان چشم نے پھر منہ نہ دیکھا خواب کا

میرے مرغ دل کی بیتابی اڑائی کس طرح

حوصلہ ایسا نہیں ہے طائر سیماب کا

خدمت اقدس میں چل کر یہ غزل پڑھ اے منیرؔ

شہرہ سب اہل سخن میں ہے ترے نواب کا

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka

Muneer Shikohabadi

halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka
zulf-e-jaanan mein hai aalam subha-e-simab ka

sone mein nazzara kar lun ru-e-alam-tab ka
KHauf kya duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtab ka

khel bhi betab tha tifli mein us betab ka
par uData tha hawa par mahi-e-be-ab ka

ruk nahin sakta hai dariya dida-e-pur-ab ka
paT hai rumal mera daman-e-sailab ka

KHwab mein yaran-e-rafta se mulaqaten huin
hum ne samjha KHizr ghaflat ko rah-e-ahbab ka

kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw
aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka

nind ki surat nahin dekha ba-juz dagh-e-jigar
parda meri aankh mein shayad ki hai kam-KHwab ka

lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein
dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka

majlis-e-be-shama wo hain sham-e-be-majlis hun main
gham mera ahbab ko hai mujh ko gham ahbab ka

hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae
dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka

ahl-e-taslim-o-raza se sar-bulandon ki hai zeb
KHushnuma zer-e-manar o qurb hai mehrab ka

jhuk ke hum ne bosa-e-abru ki jab mangi dua
halqa-e-aghosh par aalam hua mehrab ka

is qadar fariyaad mahshar-KHez ai bulbul na kar
dekhna taKHta na ulTe gulshan-e-shadab ka

mohr-e-dast-awez-e-gham hai har bashar ka dagh-e-gham
dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbab ka

be-takalluf aa gaya wo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gaya pas-e-adab se qafiya aadab ka

parwarish taqdir karti hai mujhe bahr-e-qaza
zabh ko parwarda karna kaam hai qassab ka

nashsha-e-jurat ziyaada ho gaya ai mai-kasho
saghar-e-mai ban gaya kasa sar-e-sohrab ka

mu-e-atish-did san bal khae wo mu-e-kamar
main jo likkhun garm mazmun us tilai Dab ka

ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir
chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka

KHal-o-KHat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin
husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka

dost dushman se ziyaada tez rakhte hain chhuri
barhaman bhi pesha ab karne lage qassab ka

honT par angusht-e-rangin rakh ke wo kahne lage
shaKH-e-marjaan ne samar paida kiya unnab ka

laghari ke sath betabi yahi ai bahr-e-husn
KHar hai ye jism-e-laghar mahi-e-be-ab ka

teri furqat mein jo aae bhul kar aankhon mein nind
marduman-e-chashm ne phir munh na dekha KHwab ka

mere murgh-e-dil ki betabi uDai kis tarah
hausla aisa nahin hai tair-e-simab ka

KHidmat-e-aqdas mein chal kar ye ghazal paDh ai 'munir'
shohra sab ahl-e-suKHan mein hai tere nawwab ka

(451) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Halqa Halqa Ghar Bana LaKHt-e-dil-e-betab Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.