Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein comes under the Love, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کعبہ سے مجھ کو لائے سواد کنشت میں

منیرؔ شکوہ آبادی

کعبہ سے مجھ کو لائے سواد کنشت میں

اصلاح دی بتوں نے خط سر نوشت میں

پھرتے ہیں کوچۂ بت قدسی سرشت میں

دیوانے لاتیں مار رہے بہشت میں

کفارۂ شراب میں دیتا ہوں نقد ہوش

سرگرم ہوں تلافیٔ اعمال زشت میں

اکثر جزائے سجدہ میں کھانی ہیں ٹھوکریں

لکھا ہے کیا خط کف پا سر نوشت میں

حوروں سے گرمیاں جو کہوں اس شریر کی

لگ جائے آگ آتش گل سے بہشت میں

سنتی ہے روز نغمۂ زنجیر عاشقاں

وہ زلف بھی ہے سلسلۂ اہل چشت میں

زنداں سے آنکھیں سینکنے اس گل کے گھر گئے

دوزخ سے آگ لینے چلے ہم بہشت میں

بیگانے اک ہمیں نظر آئے پس فنا

بے دردوں کا ہجوم ہے باغ بہشت میں

بت خانے میں سفیدیٔ حسن فرنگ ہے

گرجے کی روشنی ہے سواد کنشت میں

جل جل کے خاک ہوتے ہیں بے اشک و آہ ہم

آب و ہوا نہیں ہے ہماری سرشت میں

گرمی میں تیرے کوچہ نشینوں کے واسطے

پنکھے ہیں قدسیوں کے پروں کے بہشت میں

سونا کساؤں اشرفی داغ سجدہ کا

سنگ محک لگاؤں بنائے کنشت میں

بجلی چمک گئی جو ہنسی میں پھڑک گئے

شوخی بھری ہوئی ہے تمہاری سرشت میں

تصویریں تیری دست حنائی کی لے گئے

چھاپے لہو کے ہم نے لگائے بہشت میں

کرتی ہیں خون چرخ بتوں کی تعلیاں

رنگ شفق لگاتی ہے سقف کنشت میں

ابر بہار جوہر شمشیر یار تھے

گلہائے زخم کھل گئے اردی بہشت میں

تقدیر میں ہے تیری دہان و کمر کا عشق

سر نہاں لکھا ہے مری سر نوشت میں

دی جان ایک حور کے بوسے کی چاٹ پر

قسمت نے مجھ کو زہر دیا ہے بہشت میں

چوروں سے گفتگوئے خط سبز یار ہے

طوطی کسی کا بول رہا ہے بہشت میں

ادنیٰ غلام شاہ ولایت ہوئے منیرؔ

دشت نجف کی خاک ہے میری سرشت میں

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein

Muneer Shikohabadi

kabe se mujh ko lae sawad-e-kunisht mein
islah di buton ne KHat-e-sar-nawisht mein

phirte hain kucha-e-but-e-qudsi-sarisht mein
diwane laten mar rahe bahisht mein

kaffara-e-sharab main deta hun naqd-e-hosh
sargarm hun talafi-e-amal-e-zisht mein

aksar jaza-e-sajda mein khani hain Thokaren
likkha hai kya KHat-e-kaf-e-pa sarnawisht mein

huron se garmiyan jo kahun us sharir ki
lag jae aag aatish-e-gul se bahisht mein

sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-ashiqan
wo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein

zindan se aankhen senkne us gul ke ghar gae
dozaKH se aag lene chale hum bahisht mein

begane ek hamin nazar aae pas-e-fana
bedardon ka hujum hai bagh-e-bahisht mein

but-KHane mein safedi-e-husn-e-farang hai
girje ki raushni hai sawad-e-kunisht mein

jal jal ke KHak hote hain be-ashk-o-ah hum
aab-o-hawa nahin hai hamari sarisht mein

garmi mein tere kucha-nashinon ke waste
pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht mein

sona kasaun ashrafi-e-dagh-e-sajda ka
sang-e-mahak lagaun bina-e-kunisht mein

bijli chamak gai jo hansi mein phaDak gae
shoKHi bhari hui hai tumhaari sarisht mein

taswiren teri dast-e-hinai ki le gae
chhape lahu ke hum ne lagae bahisht mein

karti hain KHun charKH buton ki talliyan
rang-e-shafaq lagati hai saqf-e-kunisht mein

abr-e-bahaar jauhar-e-shamshir-e-yar the
gulha-e-zaKHm khil gae urdi-bahisht mein

taqdir mein hai teri dahan-o-kamar ka ishq
sirr-e-nihan likha hai meri sarnawisht mein

di jaan ek hur ke bose ki chaT par
qismat ne mujh ko zahr diya hai bahisht mein

choron se guftugu-e-KHat-e-sabz-e-yar hai
tuti kisi ka bol raha hai bahisht mein

adna ghulam-e-shah-e-wilayat hue 'munir'
dasht-e-najaf ki KHak hai meri sarisht mein

(357) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabe Se Mujhko Lae Sawad-e-kunisht Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.