Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do, Urdu Ghazal By Munshi Shiv Parshad Wahbi

Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Shiv Parshad Wahbi. Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل میں اس بانیٔ بیداد کے گھر ہونے دو

منشی شیو پرشاد وہبی

دل میں اس بانیٔ بیداد کے گھر ہونے دو

رفتہ رفتہ مری آہوں کا اثر ہونے دو

اب تو وہ فرط محبت سے یہ فرماتے ہیں

گھر نہ جائیں گے جو ہوتی ہے سحر ہونے دو

شوق سے ہاتھوں میں مہندی ملو تم تو اپنے

خون ہوتا ہے اگر میرا جگر ہونے دو

زلف سرکاؤ ذرا عارض تاباں سے کبھی

چاندنی رات کو اے رشک قمر ہونے دو

سرد مہری سے نہ اک آن بھی باز آؤ تم

روح میری ہے اگر گرم سفر ہونے دو

مہر و الفت ہی میں اس طرح کے ہوتے ہیں کلام

روز ہوتا ہے اگر وصل میں شر ہونے دو

تیغ ابرو کے ابھی وار عبث کرتے ہو

تم مجھے بھی تو ذرا سینہ سپر ہونے دو

مدتوں سے وہ یوں ہی ٹالتے ہیں وعدۂ وصل

شام ہوتی ہے تو کہتے ہیں سحر ہونے دو

نہ کوئی فکر کسی طرح کرو تم وہبیؔ

عمر جس طرح سے ہوتی ہے بسر ہونے دو

منشی شیو پرشاد وہبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do

Munshi Shiv Parshad Wahbi

dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do
rafta-rafta meri aahon ka asar hone do

ab to wo fart-e-mohabbat se ye farmate hain
ghar na jaenge jo hoti hai sahar hone do

shauq se hathon mein mehndi malo tum to apne
KHun hota hai agar mera jigar hone do

zulf sarkao zara aariz-e-taban se kabhi
chandni raat ko ai rashk-e-qamar hone do

sard-mehri se na ek aan bhi baz aao tum
ruh meri hai agar garm-e-safar hone do

mehr-o-ulfat hi mein is tarah ke hote hain kalam
roz hota hai agar wasl mein shar hone do

tegh-e-abru ke abhi war abas karte ho
tum mujhe bhi to zara sina-sipar hone do

muddaton se wo yunhi Talte hain wada-e-wasl
sham hoti hai to kahte hain sahar hone do

na koi fikr kisi tarah karo tum 'wahbi'
umr jis tarah se hoti hai basar hone do

(374) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do written by Munshi Shiv Parshad Wahbi at UrduPoint. Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do is one of the masterpieces written by Munshi Shiv Parshad Wahbi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi' above.

Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Mein Us Bani-e-be-dad Ke Ghar Hone Do, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.