Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna, Urdu Ghazal By Murli Dhar Shad

Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Murli Dhar Shad. Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قاتل کو تیغ ناز پہ ہے ناز دیکھنا

مرلی دھر شاد

قاتل کو تیغ ناز پہ ہے ناز دیکھنا

دامن اٹھا کے چلنے کا انداز دیکھنا

رشک رقیب کا تو گماں بھی نہ کیجیے

مرتا ہوں اس لئے کہ ہے اعجاز دیکھنا

تم اور اپنے وعدہ پہ آ جاؤ شام سے

کیا بات بن پڑی ہے خدا ساز دیکھنا

ہے خون دل ابھی سر مژگاں جما ہوا

ان کی طرف نہ دیدۂ غماز دیکھنا

فصل بہار آتے ہی مطرب بنی صبا

چھیڑا شمیم گل نے نیا ساز دیکھنا

آئینہ سامنے نہ سہی آرسی تو ہے

تم اپنے مسکرانے کا انداز دیکھنا

بازو ہیں وا قفس میں تڑپتا ہوں رات دن

کس سے کہوں کہ حسرت پرواز دیکھنا

یوں دیکھنے کے واسطے لاکھوں حسین ہیں

کس کو ہوا نصیب یہ انداز دیکھنا

غصہ میں آنکھ بھی نہیں ملتی کسی سے آج

کس پر گرے نگاہ کا شہباز دیکھنا

ہر لب پہ گدگدی کا اثر دیکھتا ہوں میں

محفل میں ان کی شوخیٔ آواز دیکھنا

قائل بنی نزاکت آواز دیکھنا

لکھے ہیں شعر حضرت بیخودؔ کے رنگ میں

اے اہل بزم شادؔ کا اعجاز دیکھنا

مرلی دھر شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna

Murli Dhar Shad

qatil ko tegh-e-naz pe hai naz dekhna
daman uTha ke chalne ka andaz dekhna

rashk-e-raqib ka to guman bhi na kijiye
marta hun is liye ki hai eajaz dekhna

tum aur apne wade pe aa jao sham se
kya baat ban paDi hai KHuda-saz dekhna

hai KHun-e-dil abhi sar-e-mizhgan jama hua
un ki taraf na dida-e-ghammaz dekhna

fasl-e-bahaar aate hi mutrib bani saba
chheDa shamim-e-gul ne naya saz dekhna

aaina samne na sahi aarsi to hai
tum apne muskurane ka andaz dekhna

bazu hain wa qafas mein taDapta hun raat-din
kis se kahun ki hasrat-e-parwaz dekhna

yun dekhne ke waste lakhon hasin hain
kis ko hua nasib ye andaz dekhna

ghussa mein aankh bhi nahin milti kisi se aaj
kis par gire nigah ka shahbaz dekhna

har lab pe gudgudi ka asar dekhta hun main
mahfil mein un ki shoKHi-e-awaz dekhna

qail bani nazakat-e-awaz dekhna

likhe hain sher hazrat-e-'beKHud' ke rang mein
ai ahl-e-bazm 'shad' ka eajaz dekhna

(588) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna written by Murli Dhar Shad at UrduPoint. Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna is one of the masterpieces written by Murli Dhar Shad. You can also find the complete poetry collection of Murli Dhar Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Murli Dhar Shad' above.

Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qatil Ko Tegh-e-naz Pe Hai Naz Dekhna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.