Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge, Urdu Ghazal By Murlidhar Sharma Talib

Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Murlidhar Sharma Talib. Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈوب کر اس کا بھنور کھولیں گے

مرلی دھر شرما طالب

ڈوب کر اس کا بھنور کھولیں گے

بحر ہستی کے گہر کھولیں گے

پا بہ جولاں نہیں ہوتی ہمت

آب جو اپنی ڈگر کھولیں گے

لاکھ دیواریں اٹھیں زنداں میں

ہم دریچہ تو مگر کھولیں گے

روشنی چار طرف پھیلے گی

آج وہ آنکھ جدھر کھولیں گے

سب ستارے کھڑے ہیں صف باندھے

آج لگتا ہے وہ در کھولیں گے

ان فرشتوں کو ملیں گے اشعار

جب وہ سامان سفر کھولیں گے

آج وہ تیر لیے بیٹھے ہیں

ہم بھی ہرگز نہ سپر کھولیں گے

شعر طالبؔ کے سنیں گے جب بھی

عقدۂ عرض ہنر کھولیں گے

مرلی دھر شرما طالب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge

Murlidhar Sharma Talib

Dub kar is ka bhanwar kholenge
bahr-e-hasti ke guhar kholenge

pa-ba-jaulan nahin hoti himmat
aabju apni Dagar kholenge

lakh diwaren uThin zindan mein
hum daricha to magar kholenge

raushni chaar taraf phailegi
aaj wo aankh jidhar kholenge

sab sitare khaDe hain saf bandhe
aaj lagta hai wo dar kholenge

un farishton ko milenge ashaar
jab wo saman-e-safar kholenge

aaj wo tir liye baiThe hain
hum bhi hargiz na sipar kholenge

sher 'talib' ke sunenge jab bhi
uqda-e-arz-e-hunar kholenge

(675) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge written by Murlidhar Sharma Talib at UrduPoint. Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge is one of the masterpieces written by Murlidhar Sharma Talib. You can also find the complete poetry collection of Murlidhar Sharma Talib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Murlidhar Sharma Talib' above.

Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dub Kar Is Ka Bhanwar Kholenge, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.