Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin, Urdu Ghazal By Musavvir Lakhnavi

Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Musavvir Lakhnavi. Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساری بستی میں رفیق معتبر کوئی نہیں

مصور لکھنوی

ساری بستی میں رفیق معتبر کوئی نہیں

ایسی ویرانی کہ تا حد نظر کوئی نہیں

اس لیے محفل میں شاید جلوہ گر کوئی نہیں

سب تماشا گر ہیں لیکن دیدہ ور کوئی نہیں

بھیڑ تو ایسی ہے راہوں پر کہ چلنا ہے محال

میری تنہائی کہ میرا ہم سفر کوئی نہیں

ہم تو خوشبو ہیں بکھر جاتے ہیں گل سے چھوٹ کر

ہم یہاں بے گھر ہوئے پھر اپنا گھر کوئی نہیں

بند ہوتا ہے اگر اک در تو کھلتے ہیں ہزار

یہ نہ کہنا اب کہ تیرا داد گر کوئی نہیں

فرط غم میں ہم اسی منزل پہ جا پہونچے جہاں

ہم زباں کوئی نہیں ہے ہم سفر کوئی نہیں

آئنہ ٹوٹے تو مل جاتے ہیں صدہا شیشہ گر

دل اگر ٹوٹے تو اس کا چارہ گر کوئی نہیں

بے نیاز سنگ در جب تک تھا میں در تھے ہزار

اب جو سنگ در کی حسرت ہے تو در کوئی نہیں

اللہ اللہ فتنۂ ایام کی نیرنگیاں

ہر طرف شیشہ شکن ہیں شیشہ گر کوئی نہیں

ہم مصورؔ ان کو ڈھونڈھیں بھی تو اب ڈھونڈھیں کہاں

تھے جہاں رستے وہاں اب رہ گزر کوئی نہیں

مصور لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin

Musavvir Lakhnavi

sari basti mein rafiq-e-mo'atabar koi nahin
aisi virani ki ta-hadd-e-nazar koi nahin

is liye mahfil mein shayad jalwa-gar koi nahin
sab tamasha-gar hain lekin dida-war koi nahin

bhiD to aisi hai rahon par ki chalna hai muhaal
meri tanhai ki mera ham-safar koi nahin

hum to KHushbu hain bikhar jate hain gul se chhuT kar
hum yahan be-ghar hue phir apna ghar koi nahin

band hota hai agar ek dar to khulte hain hazar
ye na kahna ab ki tera dad-gar koi nahin

fart-e-gham mein hum usi manzil pe ja pahonche jahan
ham-zaban koi nahin hai ham-safar koi nahin

aaina TuTe to mil jate hain sadha shishagar
dil agar TuTe to us ka chaaragar koi nahin

be-niyaz-e-sang-e-dar jab tak tha main dar the hazar
ab jo sang-e-dar ki hasrat hai to dar koi nahin

allah allah fitna-e-ayyam ki nairangiyan
har taraf shisha-shikan hain shishagar koi nahin

hum 'musawwir' un ko DhunDhen bhi to ab DhunDhen kahan
the jahan raste wahan ab rahguzar koi nahin

(314) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin written by Musavvir Lakhnavi at UrduPoint. Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin is one of the masterpieces written by Musavvir Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Musavvir Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Musavvir Lakhnavi' above.

Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sari Basti Mein Rafiq-e-moatabar Koi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.