Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai, Urdu Ghazal By Musavvir Lakhnavi

Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Musavvir Lakhnavi. Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ترے شباب کا کچھ کچھ نکھار باقی ہے

مصور لکھنوی

ترے شباب کا کچھ کچھ نکھار باقی ہے

بہار جا چکی رنگ بہار باقی ہے

وہ ڈھل چکے ہیں مگر ان سے پیار باقی ہے

کبھی جو پی تھی اسی کا خمار باقی ہے

بشکل گل غم جاناں تو ہو گیا رخصت

خزاں کی طرح غم روزگار باقی ہے

جو میرے دل پہ لگایا تھا زخم یاروں نے

گئے وہ یار مگر نقش یار باقی ہے

ابھی سے چھوڑ کے گلشن وہ جا رہے ہیں کہاں

ابھی تو رونق فصل بہار باقی ہے

نہ میکدہ ہے نہ وہ شغل مے نہ وہ ساقی

بس ایک زندگیٔ ناگوار باقی ہے

بہ راہ دشت کوئی قافلہ گزر تو گیا

مگر فضا میں ابھی تک غبار باقی ہے

جہاں شباب میں الفت کے کھیل کھیلے تھے

وہ دن گزر گئے لیکن دیار باقی ہے

تمام آسرے ایک ایک کر کے ٹوٹ گئے

امید رحمت پروردگار باقی ہے

وہ بزم ناز کہاں اور کہاں وہ جذبۂ شوق

اب ایک اپنا دل سوگوار باقی ہے

گئے وہ دن کہ محبت تھی بھائی چارہ تھا

مصورؔ اب تو فقط انتشار باقی ہے

مصور لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai

Musavvir Lakhnavi

tere shabab ka kuchh kuchh nikhaar baqi hai
bahaar ja chuki rang-e-bahaar baqi hai

wo Dhal chuke hain magar un se pyar baqi hai
kabhi jo pi thi usi ka KHumar baqi hai

ba-shakl-e-gul gham-e-jaanan to ho gaya ruKHsat
KHizan ki tarah gham-e-rozgar baqi hai

jo mere dil pe lagaya tha zaKHm yaron ne
gae wo yar magar naqsh-e-yar baqi hai

abhi se chhoD ke gulshan wo ja rahe hain kahan
abhi to raunaq-e-fasl-e-bahaar baqi hai

na mai-kada hai na wo shaghl-e-mai na wo saqi
bas ek zindagi-e-nagawar baqi hai

ba-rah-e-dasht koi qafila guzar to gaya
magar faza mein abhi tak ghubar baqi hai

jahan shabab mein ulfat ke khel khele the
wo din guzar gae lekin dayar baqi hai

tamam aasare ek ek kar ke TuT gae
umid-e-rahmat-e-parwardigar baqi hai

wo bazm-e-naz kahan aur kahan wo jazba-e-shauq
ab ek apna dil-e-sogwar baqi hai

gae wo din ki mohabbat thi bhai-chaara tha
'musawwir' ab to faqat intishaar baqi hai

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai written by Musavvir Lakhnavi at UrduPoint. Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai is one of the masterpieces written by Musavvir Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Musavvir Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Musavvir Lakhnavi' above.

Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tere Shabab Ka Kuchh Kuchh Nikhaar Baqi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.