Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai, Urdu Ghazal By Mushtaq Naqvi

Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mushtaq Naqvi. Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مائل جو آج کل نگہ نیم باز ہے

مشتاق نقوی

مائل جو آج کل نگہ نیم باز ہے

وہ دل ٹٹولتے ہیں کہ کتنا گداز ہے

تاریکیوں میں وقت کی رفتار کھو گئی

یہ شام غم ہے یا تری زلف دراز ہے

توڑے ہزار جام شرابوں میں ڈوب کر

ملتا نہیں جو ان کی نگاہوں میں راز ہے

اب وہ ستم کریں کہ کرم ہم کو کیا غرض

دل ان کو دے کے عشق بہت بے نیاز ہے

تم ننگ جان کر اسے چاہو تو بھول جاؤ

ہم کو تو اب بھی اپنی محبت پہ ناز ہے

مشتاق نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai

Mushtaq Naqvi

mail jo aaj-kal nigah-e-nim-baz hai
wo dil TaTolte hain ki kitna gudaz hai

tarikiyon mein waqt ki raftar kho gai
ye sham-e-gham hai ya teri zulf-e-daraaz hai

toDe hazar jam sharabon mein Dub kar
milta nahin jo in ki nigahon mein raaz hai

ab wo sitam karen ki karam hum ko kya gharaz
dil un ko de ke ishq bahut be-niyaz hai

tum nang jaan kar ise chaho to bhul jao
hum ko to ab bhi apni mohabbat pe naz hai

(548) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai written by Mushtaq Naqvi at UrduPoint. Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai is one of the masterpieces written by Mushtaq Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Mushtaq Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mushtaq Naqvi' above.

Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mail Jo Aaj-kal Nigah-e-nim-baz Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.